Main bhi kitna bewakoof tha.
Iss matlabi or bewafai ki duniya me,
naa jane kaha se wafa ki umeed liye
ghar se nikal pada tha.
-
Wakt Wakt ki baat hoti hai na..
Kal tak jiske hum sab kuch the,
Aaj uske liye hum kuch nahi hai.
-
Ek wakt tha jab uski ek jalak pane ke liye main
naa jane kitne bahane kiya karta tha.
Par ab chup kar uski tasvir dekh kar apne dill
ko tasali de deta hu.-
Zindagi me kuch zakhm umar bhar ke liye nishan chod jate hai
Unhi nishan me se ek zakhm tumari yaad dilata hai.-
Aaj bhi teri har choti baat yaad kar ke
akele me muskurata hu
Itna kuch hone ke bawjood,
tujhe bhula kyu nahi pata hu.-
Maa bhi ab puchti he ki akhir tujhe hua kya?
Tere chere se hasi kaha chali gai he?
Ab unhe kaise batau,
ki meri hasi ab kisi aur ki ho chuki he.
-
Aksar raaton ko logon ki aankho me
neend hoti hai,
Par mere haaton me uski tasveer,
aankho me aansu aur dill me
sirf ek sawal hota hai.
"Aakhir Kyu?"
-
Unke sath bitaye hue sare haseen palon ko yaad kar, ye dill aaj bhi unhe bohot chahta hai.
Or shayd un lamhon ki hi talash me ye aaj, ussi bewafai ke zamane me fir tuth kar bikharna chahta hai.-
Aksar mene aashiqui ko bich raste dam thode dekha he.
Ek shaks ko din dahade dhoka, to dusre ko raat ke andheron me aansu chupate dekha he.
-
Unke harkatoon ke wajah se maine
unse baat karni kya chod di.
Unhone isse apni aazadi maan li.
-