Dil me darar jo aai thi...
Wo tanke laga kar kehte hai...
Ab dard to nahi ho raha na...-
Chand si chamak thi uske chehre par
Yaar tumne to usse hi chand maan liya-
Bas tu mujhse itni mohabbat karna......
Jitna ye kale badal in barrisho se kiya karte......-
Jab se use pata chala hai.....
Mai use bina jee nahi sakta....
Tab se chain se jeene nahi deti....-
Kisi ke fark padne se....
Tumhe kyu fark padta hai...
Aur chalo maan lo fark padta bhi hai...
To tumhare fark padhne se...
Kisi ko kya fark padega....-
Yaar jis jis ko chaha sab ja rahe...
Bas ye besharam...
Zindagi nahi jati....
-
In oonchi imarato ke samne tasvir na kichaya karo , jana....
Kya milta hai tumhe bewajah....
In imarato ki ijaat uchal kar...-
Kuch logo ne iss tarah majbur kar diya....
Pehle khud sarafat chorwaya....
Aur phir sabke samne mashoor kar diya...-
Ek baat gaur kariyega janab...
Sab paas hota hai...
Siwai uske , jo khas hota hai....-
Aaj phir kisi ke ghar walo ne....
Apni jaan luta diya....
Aur barati keh rahe the....
Kya tere baap ne, bas itna hi gehna diya....-