Chua Tha Humne To Teri Ungliyan Jal Gai Thi, Chal Ye Bhi Mana Humne.
Saakh To Teri Roz Bdalti Hai Na Ab, Ab Raakh Kyu Nahi Ho Jata Tu Ae Parindey.-
Mujhe Yaad Karte Hue Usne Apne Ghar Ki Deewaron Par Apne Nakhuno Se Jo Mera Naam Likha Tha.
Use Ab Tak To Mita He Diya Hoga.
Badi Mohabbat Hai Tumse Ae Parindey.
Sarasar Jhoot Thi Ye Baat.
Usne Ab To Khud Ko Ye Sach Btaa He Diya Hoga.-
Naksh Gai Wo Jo Rooh Me Bas Ek Nazar He To Dekha Tha,
Kabhi Jee Bhar Ke Na Dekh Lena Use Ae Parindey Kahi Aankha Na Gawa Baithna.-
Nasha, Nafrat, Gussa, Kaafira Bas Yehi Sab To Bhara Hai Tujhme Ae Parindey.
Zara Nahi Bahut Bura Hai Tu Ae Parindey.-
Iss Aatish Si Duniya Ka Mai Ek Sahma Sa Parinda Hun,
Ek Bhi Khwaab Mere Sapno Ke Toot Na Jaye, Bas Isi Liye Zinda Hun.-
Mile To Mujhe Kuch Nageene Bhi The Magar Pass Mere Hamesha Uska Diya Hua Wo Lohe Ka Challa He Raha,
Wo Mohabbat He Thi Na Ae Parindey Jo Usne Apne Ram Ko Bhi Mere Saamne Allaha He Kaha.?-
Uski Paak Mohabbat He
Tujhe Ab Har Dafa Mile,
Jaa Ae Parindey Tujhe Shifa Mile.-
Use Dur To Kar Doge Mujhse Hawala Majhab Ka De Kar Ae Parindey,
Kabhi Sun Na Lena Uss Dhun Ko Jo Maine Use Bna Li,
Warna Mohabbat Na Ho Jaye Kahin Tumko Humse.-
Daulat Ke Bistar Par Inn Jismbazo Ko Ishq Karta Dekh Mai Zara Sa Kayar Ho Gaya,
Mujhse Ho Na Saki Aysi Mohabbat Ae Parindey To Mai Shayar Ho Gaya.-
Ek Hassi Se Suruvaat Ho Gai.
Ek Hasee Se Baat Ho Gai.
Ek Safar Me Mulakaat Ho Gai
Or Uspe Ye Barshat Ho Gai.
Jism Hamara Din Me Jeeta Raha,
Or Dil Me Achanak Jab Raat Ho Gai.-