Ik Din Teri Duniya Se Kooch Kar Jaunga
Rooh Nikle Gi Usi Dum Marr Jaunga
Yaka Yak Nazre Tabdeel Ho Jaye Gi
Koi Simat Na Sakhe Aise Bikhar Jaunga
Khudaya Meri Mout Asaan Ho
Jummey Ka Din Ho Waqt e Azaan Ho
Waqt e Mushkil Khudaya Ko Taal De
Lab Par Naam e Imam e Ali Jaan Ho
Honge Puri Wila Ke Adaab Bhi
Meri Mayyat Par Honge Mere Ehbab Bhi
Mujhko Kafan Phir Dafan Kiya Jayega
Mere Sath Hi Dafan Meri Kitaab Bhi
Qabar Mein Phir Munkir Nakeer Ayenge
Ayan Jin ko Me Maanta Hoon Woh Peer Ayenge
Mujhse Sawalaat Mere Imamo Par Jo Ho
Sawar Jaunga Jo Milne Hazrat e Shabbir Ayenge
Mere Shaanun Par Khuda ke Wali Ayenge
Mere Murshid Mere Aaqa Ali Ayenge
Mera Mola 14 Ki Ziyarat Ho Naseeb
Meri Kismat Ufaq Ho Jo Khud Nabi Ayenge-
Kismat Gardish Mein Dil Tere Chakkar Mein Hain
Qaid khana Aisa Mere Ghar Mein Hain
Ab To Aahatun Se Bhi Chonk Jata Hoon Batao
Teer Kamaan Mein Aur Nishana Nazar Mein Hain
Zindagi Nidhaal Hain Muhaal Jeena Ho Gaya
Bas Ishq Ke Ghav Gehre Jigar Mein Hain
Khamosh Samandar Daba Kar Dard Apne Ander
Ye Kaun Ro Raha Hain Ye Lehre Kis Ke Qabar Mein Hain
Lout kar Na Aye Parinde Mausam Badal Kar Bhi
Ab Kaha Maza Aisi Khabar Mein Hain
Kyn Milne Nahi Dete Log Mujhe Tum Se
Ayan Kuch To Khot Sare Shehar Mein Hain
Chalta rahunga Ta'hasher Talak Chalta Rahunga
Mere paaun Aaj Bhi Raah e Safar Mein Hain-
If you pick up the gun You will be killed
And If you remain silent You will be billed
The turmoil all over as innocence turning grey
Still High on valor determined And willed
To overcome any situation without the hesitation
You can't bend them down our children's are skilled
Try to Burry us Deep down or to die In exile
Efforts will be waste when your secrets be spilled
Blood stains do talk now you barely could walk
It really doesnt matter if The whole surface is swilled
The redness in meadows is the fragrance of Love
Its Blood flowing through, Kashmir is rilled
Freedom ain't a choice its a birth right
Fists will be held high till Demands fulfilled
We lost our people we don't lose our Hope
Its people of Kashmir you always stilled-
Dil Ko Sukoon Mayassar Nahi Hota
Ab Meethi Baatun Ka Mujhpar Asar Nahi Hota
Mismaar Ho Jaye Imarat Ik Baar To
Woh Khandar Hota Hain Ghar Nahi Hota
Tera Kehna Ishq Mein Sab Kar Jaunga
Pak Mohabbat Mein Jaana Darr Nahi Hota
Bahane Lakh Baja Takaluf Mein Lakin
Ishq Mein Kyn, Agar, Magar Nahi Hota
Rukh Mod Diya Mera Chalte Chalte
Dekho Mujhse Akele Ye Safar Nahi Hota
Kya Likhein Ayan Bewafa'n Ke Liye
Kya Karun Mujhse Ab Sabr Nahi Hota-
Seerat kya surat kya Zaat kya hain
Ishq mein bashar ki Bisaat kya hain
Kha gayi ajal kaise kaiso ko
Ishq ke samne Hayaat kya hain
Reh gaye na'karda'kaar sabhi bashinde
Aashiqo se pucho to Baat kya hain
Padh gaye ishq mein phir ye nahi dekhte
Zindagi kya, Jeet kya hain maat kya hain
Chaar pehar bas soch mein dobe rehte hain
Phir Sehar kya din kya Raat kya hain
Ye Dil ka khel hain kheley khelne wale
Mujhe nahi pata ye Jazbaat hain kya
Adami yaqeenan Kisi Kaam ka Nahi Rehta
Ye humsafar kya aur uska sath kya hain-
Haal Be'haal Hain Na Puch
Mera kya kamaal Hain Na Puch
Jaise Hi Dekha Tumhein Dil Machal Utha
Tera Jo Bhi Sawaal Hain Na Puch
Mere Dil Mein Talatum Hain Aur Matam Bhi
Kis Kis Ka Kya Khayaal Hain Na Puch
Boht Daer Baad Ik Roshini Dikhi Thi Mujhe
Ab Ander Kya Kya Malaal Hain Na Puch
Sab Raakh Ho Gaye Sapne Ujadh Gaya Ghar
Zindagi Mein Kitne Zawaal Hain Na puch
Phas Gaya Qafas Mein Be'zubaan Dil
Ayan Ishq Kaisa Jaal Hain Na Puch-
Jab Raat Ho Jaye To So Ja
Na Baat Ho Jaye To So Ja
Ilhaam e Yaar Mein Hi Sahi
Woh Sath Ho Jaye To So Ja
Talaash Karna Khudi Ko
Zindagi Khwaab Ho Jaye To So Ja
Ishq Mein Izhaar Zarori To Nahi
Kismat Maat Ho Jaye To So Ja
Zindagi Raat Ho Jaye To So Ja
Koi Baat Ho Jaye To So Ja-
Mujhe Marna Qabool Hain Bhai
Kynki Aise Jeena Fizool Hain Bhai
Kamzoor Ko Daba Kar Rakhe Hain Log
Woh Qadmo Ki Jaise Dhool Hain Bhai
Kaante Ho Aise Pesh Atey Hain
Woh Khud Jaise Koi Phool Hain Bhai
Insaan Mein Insaniyat Hoti Hain
Ayan Ye Tumhari Koi Bhool Hain Bhai-
Mujhe Doob kar mar jana chahiye
Ya mujhe batao Mujhe Kidhar jana Chahiye
Khali khali Zindagi ka me kya Karun
Isse ab talak to Bhar jana Chahiye
Semat leta hoon jaise tese me khushi
Aur Gum kehte hain Bikhar jana Chahiye
Na'muraad lotunga watan ye accha nahi
Dil ke wastey kuch Kar guzar jana Chahiye
Halaat khasta Hain Haal Khasta'tar
Mujhe dekh kar unhein ab Darr jana Chahiye
Me badkaar hoon Meri bisaat Alooda
Ayan tujhe ab to Sudhar jana Chahiye-
I don't write what I feel
Neither do I feel what I write.
It's all about writings !-