Thand thi bhaut toh aag laga di
Lekeer kheechi aur sarhad bana di
Aur ab ..
Ab tak aag lagi huyi hai
Jung chal rahi hai ki vo sarhad mein bikhri
huyi safed barf kiski hai-
Ye khawab azaad hai
Na hindu hai na musalman hai
Galat ke khilaaf hai
Awaazo mein sukoon hai
Ab pehchanoge kaise
Ki ye bhajan hai ya azaan hai
Isska na koe naam hai
Ye bas ek inquilab hai
Bhagat singh ki zubaan hai
Gandhi ka khayaal hai
Ye khawab azaad hai
Ye khawaab azaad hai
-
Inquilabi khayal hai
Sadak pe fir awaam hai
Ye takht fir badal dengai
Sarkar bhool gayi hai
Ki ye azaad hindustan hai
Rukiye suniye dekhiye
Ki nabz mein bhukamp ke aasaar hai
Sarkar aandhi ho gayi hai
Unke hisaab se toh janab
Sab thik thak hai
Aur akhbaaro mein toh miya
Bas Sarkari hisab kitab hai
Ye Awaaz pardey cheerne wali hai
Ye shor itihaas banney wali hai
Kahi toh kuch toh baat huyi hai
Yuhi fizul he nahi chinghari aag huyi hai
Sochne ki baat hai ...
Kya wqat kya halath hai
Sarkar ke jo khilaaf hai
Vo desh ke khilaaf hai
Sarkar bhool gayi ye bas
Ki ye azaad hindustan hai
Ye azaad hindustan hai ...!!
-
Jo likha huya hai vo nahi badalta
Baki toh sab badal jaatey hai
Isse farak nhi padta
Aap kisi ko kab se jaantey hai
Niyatein badlo
Sab badal jaatey hai
-
Sang-e-marmar si dunya mein
Log baarish ke boondo
ki tarah girr rahey hai
Nazar se.. !!
-
Iss dunya ka ye likha jab khatam ho
Toh zamir pe khoodh kar dekhna
Kyuki jhaak kar dikhne wali
Ab zamir rahi nahi logo ki
-
Ye rooh-e-mulk ghulam si
Aur awaam-e-saans inquilab sa,
Congress ki Parivarvad se mukt desh
Ab sangh parivar chala raha hai
Ye communist ki kya vichaardara hai ?
Jo sirf ek hi jagah ke logo ko samajh aa raha hai..!
Paksh wipaksh asal zameeni halatho se kya karna hai
Chunaav Ke wqat sarhad ke zamee ko garam karna hai
Fir jo khilaaf bhi ho
vo khilaaf-e-mulk ho
Tum itihas kya padogay
Jo likha hai vo palat dengai
Ye sarkar hai janab
Ye Gandhi pe charcha kar ke
Savarkar ko ratan dengai
Ab inhey azaadi pe sabak bhi kya dengai
Inhey ghulami ki adat hai ...!!
“Ziid kar,khud ko azaad kar
Halak se zor ke awaaz kar
Fir se ek INQUILAB kar
Fir se ek INQUILAB KAR”
-
Ahl-e-gul ho toh jaago
Yeh mahek aag ki khatam karni hai
Awaam mein bad-aman khafii huyi
Ab ye jung dars-e-aman se khatam karni hai-
Jo aadato mein hai
Vo yuhi
Mausamo ke badalne se
Badaltey nahi hai ..!-
Urooj mein ho
Ya zamee pe pasth
Dhua sab taraf hai miya
Jala kar zamee
Aasma ko jaa rahi hai Aag
Aap mezhab pooch rahey thay
Hoshiyaar rahey..
Aap he ke aaspaas hai aag
-