QUOTES ON #HON

#hon quotes

Trending | Latest
29 MAY 2020 AT 15:15

Hon khaakh aur khaakh se hai faqat yarana mera...
Likha hai khaakh se khaakh par,padega kon afsana mere...

-


26 JUN 2020 AT 11:56

Mene jab bhi khuda se sufarish ki hai,
Tere chehre par hansi ki sufarish ki hai.
میں نے جب بھی خدا سے سفارش کی ہے،
تیرے چہرے پر ہنسی کی سفارش کی ہے۔

-


30 JUL 2020 AT 16:20

Jinki thandak the hum wo aankhein ab jhuk jati hai hame dekh
Qusoor hamari soorat ka hai ya teri seerat ka. . .

-


29 JUL 2020 AT 23:34

Be takaluf hee har kisi se mila karta thaw,
Rawaye jo badal gaye toh ab zara ehtiat karta hon main.
بے تکلف ہی ہر کسی سے ملا کرتا تھا،
رویے جو بدل گئے تو اب ذرا احتیاط کرتا ہوں میں۔

-


29 JUL 2020 AT 14:59

Kabhi phir se na nazar par jaye tum par,
Main ab nazren jhuka ke chalta hon.
کبھی پھر سے نہ نظر پڑ جائے تم پر،
میں اب نظریں جھکا کے چلتا ہوں۔

-


24 AUG 2020 AT 13:40

Darta hon ke kaheen mujhse juri tumhari umeedon ko tor naa doon. Darta hon ke kaheen meri baatein tumhain ziyada pasand na ajayen. Darta hon ke meri waja se tumhara dil na toot jaaye. Darta hon ke kaheen mujhse bewafaye na hojaye. Tumse baat karne ko toh dil buht karta hai magar darta hon.

-


11 AUG 2020 AT 21:37

Dunya ne kaha magar mene nahen maana,
Ab kehta hon waqaye buht badal gaye ho tum.
دنیا نے کہا مگر میں نے نہیں مانا،
اب کہتا ہوں واقعی بہت بدل گئے ہو تم۔

-


27 JUL 2020 AT 17:05

Kabhi jo mere seene se lag kar rota thaw,
Aj usey kese khyal asakta hai kisi aur ka?
کبھی جو میرے سینے سے لگ کر روتا تھا،
آج اسے کیسے خیال آسکتا ہے کسی اور کا؟


-


1 JUL 2020 AT 2:00

Mere chehre se na parh sakoge mere dil ki kefiat,
Main gham main bhi muskurane ka hunar rakhta hon.
میرے چہرے سے نہ پڑھ سکوگے میرے دل کی کیفیت،
میں غم میں بھی مسکرانے کا ہنر رکھتا ہوں۔

-


26 JUN 2020 AT 16:47

Aapki sifarish meri dhaal bani,
Gamon ko mujh tak pahonchne nahi diya,
Aur taa umar karzdaar bana diya.

-