Hum Toh Bichde The Tumhe Apna Ehsaas Dilane Ke Liye
Magar Tum Ne Toh Mere Bina Jeena Hi Sikh Liya-
Girte Hain Sajdo'n Mein Hum Apni Hi Hasrato'n Ki Khatir
Agar Girte Sirf Ishq-e-Khuda Mein Toh Koi Hasrat Adhuri Hi Nah Rehti-
Na Mohabbat Na Dosti Ke Liye
Waqt Rukta Nahi Kisi Ke Liye
Apne Dil Ko Na Dukh De Yun Hi
Iss Zamane Ki Berukhi Ke Liye
Waqt Ke Sath Sath Chalta Rahe
Yahi Behtar Hai Ab Har Kisi Ke Liye-
Jo Tumhara Hai Hi Nahi
Uss Ki Zindagi Se Chup Chap Nikal Jaana Hai Sahi
Shor Machane Se Usse Tumhare Jazbaton Ka Ehsaan Nahi Hone Wala
Khamosh Reh Kar Dekho Khamoshi Ka Hai Bol Bala-
Tum Mere Naseeb Me Nahi The
Warna Mera Khuda Kabhi Galat Faisla Nahi Karta-
Acha Toh Tere Zariye Aazmaish Hui Meri
Haye Tujhe Cheen Kar Mujhe Sabr Sikhaya gaya
-
Main Yeh Samajhne Ke Liye Tayar Hu
Shayad Hum Roz Baat Nahi Kar Sakte
Magar Tumhe Bhi Ye Samajhna Hoga
Ke Mera Dil Tadapta Hai Tumhari Awaz Sunne Ke Liye-