QUOTES ON #ANKHIYAAN

#ankhiyaan quotes

Trending | Latest
6 FEB 2020 AT 12:22

Chaap Tilak

Ik tu hai khwaabon se Labrej yanha
Or ik fizuliyat sa mai khaak ki tarah.
Bheegi teri palke to bhi dua si barsi
Or ik mai hun lipta maile paap ki tarah.
Ye sach hai tu inme samandar samete hai
Mai lehro se ladta patwaar ki tarah.
Tu marhum hai maih ke har zayako se
Mai sukha gala pyalon ki pyaas ki tarah.
Behisaab hai inme tabassum zamane bhar ke
Mai talash mai hun Hoth udaas ki tarah.
Maasoom thi teri nazar jo pakdi gayi, magar
Mere zubaan mukhare aakhiri saans ki tarah.

-