Zindagi ko jeena hai
To khushiyaan baat te Chalo
Gam to bahut hai
Kuch aashayein bikherte chalo
Kehte hai kuch hunar chahiye to
Logo ke Dil jeetne ka hunar paalo
Yaha supply kam hai aur demand zada
Is hunar se duniya ko Jeet lo
#AlfaazeAzam
-
Zindagi ki dhoop me
Ek chaav kaafi hai
Fir se zinda hone ko
Ek awaz kaafi hai
Zaroori tha jeena bhi
Saanso ko chalne ke liYe
unka muskuraana kaafi hai
Zinda rehne ke liYe
Sirf unse milna kaafi hai
Bich samandar me
Akele chal pade the Yu
Jab se mile wo to yu laga
Unka Sath chaldena kaafi hai
#AlfaazeAzam
-
Waqt ke sath tham jaye
Waise irade mat rakhna
Jo beete hue kal se Jude rahe
Us kal ko gale bandh ke mat rakhna
Rehna hai zindagi me aage
To beete hue kal se rishta jodke mat rakhna
Karni hai poori saari hasratein
To apni udaan pe bandish mat rakhna
#AlfaazeAzam-
Ho sake to karne ke liye
Sirf ek kaam karein
Khud ke liye to sab karte hai
ALLAH ki raza ke liye bhi kuch kaam karein
#AlfaazeAzam-
Har guzarte waqt ki tarah
Alwida August ko hamne kaha
Kuch socha tha ke karenge
Kuch likhenge kuch padenge
Par kuch kaam hua poora
Kuch ko agle mahine karke hi rahenge
Chalti hi rehti hai zindagi ki naiyya
Un lamho me socha tha bahut kuch karenge
Kuch apno ke sang waqt bitayenge
Kuch aane wale palo me gile shikwe mitayenge
Koshish ki thi socha tha
Ke bachpan ke din me laut jayenge
Itne dhoor aagaye hai ke bas yahi sochte hai
Kaise wo bachpan ke din laut ke aayenge
#AlfaazeAzam-
Sikh rahe hai safar me
Kaise yeh zindagi bitaayi jaayein
Chalte the kabhi haath pakad ke
Ab waqt hai khudki hi chaal chali jaayein
Kaise tere gulistan me raunak ho
Kaise tere aangan me hasi bikheri jaayein
Aey zindagi itna bate de Zara
Kyu tu itni mere halaat pe muskurati jaayein
#AlfaazeAzam-
Khush rahein zindagi me
Darr se naaa dare kabhi
Saamna jo karenge
To darr bhi ek din darr jayega
Aur chah ke bhi
Kabhi koi tumhe dara nahin paayega
#AlfaazeAzam-
Aaya maahe Ramzan
Khush hai aj har Musalman
Wo Sehri ki raunake
Woh iftaari ki barkatein
Thi khoob roshan har fiza
Hai chaar soo barkatein hi barkatein
#AlfaazeAzam-
Kuch chale kuch tham gaye
Raah chalte chalte ham kho gaye
Raaho ko dosh kya dete
Jo hote the sath woh sath chod gaye
Akele hi manzil teh karni hai
Kya de unhe dosh
Jinke hamsafar hi
Unhe tanha chod kar chal diye
#AlfaazeAzam
-