-
kyu kisi aur ko dukh dard sunaye apne
apni ankho se bhi main zakhm chhupaun apne .
main to qaayem hun tire gham ki badaulat varna
yun bikhar jaun ki khud haath na aaun apne .
sher logon ke bahut yaad hai auron ke liye
tu mile to main tujhe sher sunau apne .
tere raste kā jo kanta bhi mayassar aaye
main use shauq se collar par sajaun apne
sochta hun ki bujha dun men ye kamre ka diya
apne saaye ko bhi kyun saath jagaun apne
us ki talvar ne vo chaal chali hai ab ke
paanv kaTte hain agar haath bachaun apne
Akhiri baat mujhe yaad hai us ki
jaane vaale ko gale se na lagaye apne
-
है आप के होंटों पे जो मुस्कान वग़ैरा
क़ुर्बान गए उस पे दिल ओ जान वग़ैरा
-
Madde Nazar Takaza E Parda,
Wo Kala Shisha upar karte hain.
Nazar Jhukana bhi hai apni Ada,
Hum "Use Dipper" ka karte hain.
Samjhega usko is Sher ka matlab,
Jo "Traffic rule Follow" karte hain.
🚦 🚥 🚦🚥🚦🚥🚦🚥🚦🚥🚦🚥🚦🚥🚦
-