Syed Saif Karim   (Syed saif)
94 Followers · 48 Following

Mai waqt,Duniya,Jazbat aur haquiqat likhta hu,
Mai ko tum aur tum ko Mai likhta hu!!!!
Joined 14 April 2018


Mai waqt,Duniya,Jazbat aur haquiqat likhta hu,
Mai ko tum aur tum ko Mai likhta hu!!!!
Joined 14 April 2018
1 FEB 2024 AT 15:30

Na apne sheher lautne ki khusi
Na kisi ke Jane ka gam,
Khud se puchu ye sawal
Ke kyu itne bure hai hum!!

-


30 JAN 2024 AT 23:15

Arzoo thi bas Tera deedar karun
Dur se hee sahi jee bhar ke pyar karun,
Na thi koi jagha tere dil me kabi mere liye.
Tu khush rahe hamesha bas khuda se yahi duwa karun !!

-


30 JAN 2024 AT 22:33

Chhupa ke tujhko
Likhne me mahir ho gaya,
Wo kitabo me uljha sa ladka
Sayar ho gaya!!

-


30 JAN 2024 AT 22:00

(BAAT "BHAROSA" AUR "BEWAFA" KI HAI)


Kar raha tha jab-jab mai khud se jada kisi aur pe BHAROSA bhi,
Wo kar rahe the tab-tab mujhe girane ki koshishe bahut
Mai Wafa ke sath chalta chala,
Aur wo bharose me nikle "BEWAFA" bhi !!

-


29 JAN 2024 AT 23:22

Amal se Khali duniya ko
Aafat ki dimak khayegi
Hum Roz namaz chhodenge,
To Roz kayamat aayegi

-


26 JAN 2024 AT 0:29

Roz taaro ki numaeesh me khalal padta hai,
Chand pagal hai andhere me nikal padta hai!!

-


26 JAN 2024 AT 0:10

Dekha hai jab v Chand ko maine
Usme daag Nazar aayi hai,
Chand ne bhi Suraj se mohabbat karke
Sirf bewafai hi pai hai!!

-


22 JAN 2024 AT 17:40

Ho kyu itni khubsurat Teri aankhon ka Jamal hai,
mai tere hotho ko chum lu kya ?
Mera tujhse ye sawal hai.
Ab mat pucho ye Sanam ke kaisa mera haal hai,
Tum ho hi jada  khubsurat Teri aankhon ka Jamal hai !!

-


18 OCT 2023 AT 2:22

Ik urdu jubaan ka jadoo uspe salika-e-guftagu,
Main dil ko ik nazar mein nahi lafz dar lafz haara hoon!

-


18 OCT 2023 AT 2:20

थोड़ा समझदार, थोड़ा जिम्मेदार हूँ

शायद इसीलिए सबकी फ़िक्र करता हूँ।

घर में माँ, बाबा, भाई, बहन सब हैं

सबकी परस्ती का ज़िम्मा मुझी पर है

सब मुझी पर है, ये समझ चुका हूँ

इसीलिए घर छोड़ के निकल चुका हूँ।

ज़िद्दी था, नासमझ था

जिम्मेदारियों ने कब समझदार बनाया,

इससे बेखबर था

याद है मुझे, वो घर से पहली बार निकलना

रास्ता भटकने पर यूँ माँ बाबा को याद करना

बन्द एक कमरे में रो के दिल हल्का करना

हाँ मैं घर का बड़ा लड़का हूँ

उम्र से जरा बड़ा दिखता हूँ।

-


Fetching Syed Saif Karim Quotes