Jo na manzoor h mujhko
Wahi manzoor h tujhko
Samjh pau na mai tujhko
Na tu mujhko-
Meri takat h teri muskurahat
Mujhe milti h inhi se rahat
Chahe ye duniya kar le kitne bhi sitam
Inme hi rahegi sada hifazat meri sanam-
Bas khuda se yahi aas h meri
Aur koi rahe na rahe tu bankar rahe akhri saas meri
Jab saari Duniya tere khilaaf ho jayegi
Tu mujhe har pal apne paas payegi-
Use kya farq padhega mere jaane ka
Usne to mujhe pehle hi ruksat kar diya
Bas ab to ek riwaaz tha nibhane ka
Mene uske is kaam ko asaan kar diya-
Kya kahu ke kis haal se guzar raha hun
Apne dard ko apne aasuo se pi raha hun
Kin chizo se mujhe taklif hoti h kya kahu
Kehkar bhi use samjha na pata hu
Soch meri kyu meri dusman ho gyi
Apne pyaar ki takat meri soch se fiki padh gyi
Magar mujhe yakin h wo aise jayegi nhi
Mujhe is haal par dekh payegi nhi
Laut ayegi wo ek din dekhna
Bhale Aaj nhi kal ya saal lag jaye❤️-
Uske bachkani harqate mujhe pasand h
Uska Ruth jaana mujhe pasand h
Magar uski khamoshi se jalta ye dil h
Saase meri mujhse hi Ruth jaati h
Jab saath uska na paati h-
Tere pyaar ko tarasta hun
Tere dedaar ko tarasta hun
Jo tu na dikhe mujhe ek pal bhi
Mar mai jata hun Zinda hoker bhi-
Tere Khyaal se Khud ko Chupa kar dekha
Dil Ko Apne Khub Rula kar dekha
Tu nahi hai to kuch bhi nahi teri kasam
Maine Kuch Pal tujhe Bhula kar dekha-
Tere Dil se na kabhi khelunga
Saare Raaz apne mai tujhko de dunga
Meri Jaan tune mujhko Pagal hai kiya
Mera lagda na jiya tere bagair
Tu Maan meri Jaan
Mai tujhe Jaane na dunga
Mai tujhko apni baho me chupake rakhunga ❤️-
Tere na hone ka ehsas
Chubhne laga hai mujhe
Tujhe khone ka dard
Bas mujhe hi huwa hai-