Sultana Haque Ā  (Sultana Haque)
202 Followers Ā· 14 Following

read more
Joined 5 March 2018


read more
Joined 5 March 2018
3 FEB AT 4:58

Teri khatir zindagi jeena chor diya
Tune kaha to hamney hasna chor diya
Krtey rahe tera aitbaar har uss chiz par ae bndey
Ab jo tune kaha to ishq karna chor diya..

-


27 AUG 2021 AT 0:46

Khamosh paigamo si hai ye zindagi..
Kabhi udano se darti hai to kabhi zameen pe khil khilati hai ye zindagi...
Dar to yun maut se bhi lagta hai magar
Zindagi ko jina sikhati hai ye Zindagi...
Kyunki Khamosh paigamo si hai ye Zindagi...

-


7 APR 2021 AT 2:29

Teri baaton me aaj bhi dub jane ka man krta hai...
Teri yaadon aaj bhi kho jane ka man krta hai...
Kya krun ye dil naadaan hai, jo aaj bhi Tera hojane ka man krta hai...

-


7 APR 2021 AT 2:26

Mujhe jeene nai deta wo lamha..
Jinme tum naa hotey ho...
Bs sukr aada krtey rehtey hai har lamhe ka...
Jo aaj beshak rulati hai,
Kya pata ye lamhe kal Ho Naa Ho..

-


7 APR 2021 AT 2:23

Sukoon to uss ahat me hai
Jo tere anse phle sunai deti hai...
Warna ahat to tere jaane ki bhi hai..
Jo rula bhi deti hai...

-


11 OCT 2020 AT 23:48

Khwahishon ki bojh si hai zindagi
Kabhi han kabhi naa me tadapti hai ye zindagi...
Yun to bahut si wajah hoti hai jine ki
Par kya wo ek wajah esa bhi hai
Jisse hasne lagi zindagi???

-


6 AUG 2020 AT 2:01

Khamosiyon jab Alfazon se
Bayaan hone lagi,
To Keher dhane lagi tumpe....
Humney to bas haale dil, bayaan kiya tha...
Jawab aap yun ankhon se dene lag gaye...

-


6 AUG 2020 AT 1:52

Har pal har lamha seh gaye
Uff naa kiya jab tum chor gaye
Jab bhula hi diya tha tumhe to
Kyun aayi teri yaad...
Jo yaadein, chin chuki hai humari khushiyan...
Ab unhi kay sahare, jiii rahe hai hum...
Jii rahe hai hum...

-


6 AUG 2020 AT 1:40

Jahan bichi thi raahon pe kaatein
Humney wo raahein chali hai...
Taklif hue jab paaon me
Tabhi to aaj sambhal chale hai...

-


6 AUG 2020 AT 1:37

Jao jilo ye zindagi tumhari hai...
Humney to khwabon me bhi tumhari khusiyan mangi hai...
Karo qubul to jaanogey tum
Teri har khwahish ko, apni taabir maani hai...

-


Fetching Sultana Haque Quotes