koshish karne walon ki kabhi haar nahi hoti
Asaflta ek chunauti hai, ese sweekar karo,
kya kami reh gayi, dekho aur sudhar karo...
jab tak na safal ho, neend chain ko tyago tum,
sangharsh ka maidan chod kar mat bhago tum
Kyunki
Asli pehalwan ki pehchaan akhade mein nahi, zindagi mein hove ,
taki, jab zindagi tumhe patke
toh tum phir khade ho
aur aaisa daanv maro
ki zindagi chitt ho jaye....
Tu jaag bhai, tu lar ke le le
Kyunki tu agg hai
Tu hamara garv hai....
- Nil
13 DEC 2019 AT 0:16