Kabhi baithon chai pe, huzor ke sath
Badnami me sukoon ka maza, hum sikhate hain..
Kismat ke kiston ko jo zindagi manne lage,
Wo Kham-a-kha khwab kahan dekhte hain..
Jatan se barso rakhe the Jo, unn
Zulfoon ko chedne ki izaazat dete hain..
Na chedo sukhe zakhmo ko, kyu na
Waqt ke khatir, kuch khel khel lete hain..
Tash hum layenge, Kuch baazi tum bhi phekna
Ek akhiri baar, raat me nashe ka mauka de dete hain..
Jo tumhare ho nahi sakte hakiqat mein,
Khwabo mein sham ki chai ka niyota bhejte hain...-
Khwaabon ke khamir ko jo hakiqat samjha tha,
Wo to khairyat puchne se rahe..
Khud ke liye, ek Takaluf utha lete hain,
Akhirkar Sirf adaat ko ishq samajh lete hain ...-
Na koshish : Na dhundne ki kashish..
Phir bhi ye hawa kahe ki haq ha mujhe -
Tere intezaar ka..
Ye batuni kitabein ; aur be-mausam barish..
Kahe ke, jalti huin mein..
Apne betabi se, jo khud jale har barish mein..
Mohlat kahe mein waqt ki karzdaar huin,
Waqt puche kya mein himat ki haqdaar huin?
Ab ye aankein; na hi aansun, chahe tujhe,
Kahin sayad khus ha tu bhul ke mujhe..
Patthar dil se, Faasla ka faisla jo kiya tune,
Dillagi ke bazaar me, dil ko mehenga kiya maine..
Intezaar ne mohlat ka jo waqt chura liya,
Mere khuddari ne har khidki hai band kiya..
Chod diya har raah maine,
Phir bhi kahun - Tu na jaa...
Pardein jo marzi se band hue,
Marzi kahe - Ab tu na aa.... Ab tu na aa....-
Tu kundan si karigari, mein bejaan viraan bawdi...
Tu sukoon haar bechain aankhon ka,
Mein talaash ta hua musafir...
Mein kasar ki kashish dhunti huin..
Tu suroon ka sargam gaate hue..
Kabhi ye anjaan raste tak rayenge,
Tab samne hoke bhi hum duur ho jayenge...-
My 3:00 a.m. asks me to update my playlist, scratch with pen the story at neither the end of night nor the beginning of light....
-
My Dear feet,
Hey my love at first sight, I may not give you peaceful pedicures but thank you for the embracing experiences.. You have carried me all through my ages and continuity...
Thank you for supporting since the womb journey, infancy, toddler-phase, adolescence and adulthood...
I may not be the romantic Romeo, but you are my juvenile Juliet.
Ohh childhood love, I love you more as we grow together.
You may get tired soon, still, I hope to stand on you; with you in my old ages.
Cherishing your presence every moment...
Yours lovingly,
The Me ❤️-
Ek zamana tha ..
Jab hum kalam se baatein kiya karte the...
Ek zamana tha..
Jab hum kamal ke baatein kiya karte the...
Ek zamana tha..
Jab hum khud pe baatein kiya karte the...
Ek zamana tha..
Jab hum khud se baatein kiya karte the...
Par pata na chala,
Haato se paimana fisalte fisalte
Na jane kab zamana guzaar gaya...-