Ye Zindagi Mujhe Apne Taur Tareeke Seekha De,
Na Jayada Na Kam Bas Jaroorat Bhar Bata De
Na Beete Pal Dekhne Ka Waqt Ho Na Aage Badhne Ki Aarzoo,
Ye Duniya Jaise Chalti Hai Waise Beech Inke Rehna Seekha De
Kisi Ke Hone Na Hone Ka Yeh Ehsaas Mita De,
Baaki Jo Tu Chahe Apne Hisaab Se Chala De
Logo Se Pehle Socha Karu Khud Ke Liye ,
Mujhe Kuch Aisa Pathhar Dil Bana De
Apno Ke Diye Shabdo Ke Ghao Lage Jo Dil Me Kabhi,
In Ghao O Ko Bharne Ki Koi Tarqeeb Seekh De
Chah Kar Bhi Kisi Ka Mujh Par Bas Na Chale ,
Ye Zindagi Tu Mujhe Bas Apni Tarah Bana De— % &-
Chahat ban gye ho tum
Ya aadat ban gye ho tum
Har saas me yu aate jaate ho
Jaise meri ibadat ban gye ho tum-
Kya Chahun Rab Se Tumhen Pane Ke Baad,
Kiska Karoon Intezaar Tere Aane Ke Baad,
Kyu Moahabbat Mein Jaan Luta Dete Hain Log,
Maine Bhi Yeh Jana Ishq Karne Ke Baad-
Humein To Pyar Ke Do Lafz Bhi Naseeb Nahi
Aur Badnaam Aise Hain Jaise Ishq Ke Baadshah The Hum-
Meri har baat me tu hai , meri har saas me tu hai
Meri har khushi me tu hai , meri har Khwab me tu hai
Kaise bitau ek pal bhi is zindagi ka tere bin
Meri poori ki poori zindagi hi tu hai-
Kuch rishto ke aise naam hote hai
Jo ekbaar jud jaaye to zindagi bhar saath neebhate-
Dard me hasne waale ko rulaya nhi jaata
Dil ke rishto me dimaag lagaya nhi jaata
Hone waale khud ho jaate hai apne
Kisi ko kehkar apna banaya nhi jaata-
Na raasto ka saath raha
Na manzil ko intezaar raha
Mai kyu likhu apni zindagi ke bare me
Mere saath to ummede bhi mazzak kar raha-