Ye kaisa khel hai waqt ka
Kyun dil par zor hai akl ka-
insta- sneha_agarwalla
Ae Zindagi,
Zindagi thodi sukhan kar de
Iss dard ke tale
Ab humein dafan kar de-
Socha tha k tu aaega
Gusse me hi sahi
Lekin manaane aaega
Ishq tha na tujhe
Phir nibhaane kab aaega?
Intezar kar rahe khade vahin
Toh bata, gale lagaane kab aaega?-
Ishq, mohabbat aur pyaar
Yeh humare bas me kahan thi?
Humein toh prem karna tha unse
Radha Krishna ki tarah..-
Kyun ye zindagi azaab ban gayi hai?
Shayad dil lagana humara gunah tha..-
Kuch iss kadar paraya kiya usne
Na dur jaya ja raha hai
Na paas raha ja raha hai-
Har raat uski qurbat yaad aati hai
Lekin naseeb koi aur farmaan lati hai
Sath ho kar bhi vo mera nahi
Phir aankhein band karne par
Uski tasveer kyun saamne aati hai-
Karwatein badalte reh gaye hum raat bhar
Shayad unke baahon ki chaadar chahiye thi-
Yun sher likhna sirf ek bahana tha
Tujhse ishq ka izhaar jo karna tha-
Kaash vo humari chuppi samajh jate
Kaash vo humein manane aa jate
Kya karein, tootne se darte hain hum
Bas ek baar vo yakeen dilane aa jate-