Shubham Vyas   (Shubham Vyas)
46 Followers · 29 Following

21| A Teacher | A licensed writer authorised by my pain.


Instagram - @vyasception
Joined 13 March 2018


21| A Teacher | A licensed writer authorised by my pain.


Instagram - @vyasception
Joined 13 March 2018
15 SEP 2018 AT 3:04

Jab sawal kisi aur se nahi khudse karta hun, Jab jawab kisi aur se nahi khud se maangta hun, Jab galti kisi aur ki nahi khud ki hoti hai, Jab sab dhalta suraj lagta hai, Jab sach kisi aur ko nahi khudko bolna hota hai, Jab ladai kisi aur se nahi khudse hoti hai, Jab aankhon k upar ki jhuriyan aankhon ko khulne nahi deti hai

Tab darr lagta hai, Tab maan lena mushkil hota hai, Tab samajh kho dena aasaan hota hai, Par tab himmat karke jawab dena aur galti man lena hi aage bharne ka raasta hai

-


13 SEP 2018 AT 0:34

Kuch toh badla hai, Kuch aur bhi badlega
Par iss badalne k tariqe m bhi kuch badla hai
Kuch log bhi badle hain aur unke sang hum bhi badle hai

Ab kuch samajh m bhi aaya hai ki khudse puche Gaye sawal m jo badlav uss wajh se sawal se badlav aaya hai

Bas ek hi Shanka hai, badlav ki ye leher jaldi se Badal Rahi hai aur bahut aage bhad Rahi hai bas chahta hun ki kabhi ye badalne ki bahar thehar jaaye taki badlav ki Baad na aajaye phir vo badlav shuruat se bhi 2 kadam peeche chod dega.......

-


11 SEP 2018 AT 23:55

Jab kisi dusre ko aaram se baith kar dekhta hun, toh badi aaram se bata deta hun ki kya galat aur kya sahi hai

Par jab vahi insaan paasa palat deta hai aur ab vo aaram se baith kar mujhe dekh kar kehta hai ki kya sahi ho skta hai tab main khudko bachate hue kehta hun ki aur koi tareeka nahi hai jo rekha k uss taraf hota hai vahi dikkatein smjh sakta hai baki toh mehsoos ya dekh sakte hai.

-


16 AUG 2018 AT 19:44

Koi kaaran nhi hai , ya kaaran btane ki himmat nhi hai yaa kaaran tumhe bhi nhi pta, yaa kaaran tum khud jaanna nhi chahte,

Ab kya btaun, Ab tumhe kya samjhaun, Ab tum hi samjh jao tum hi Karan ho....

-


15 AUG 2018 AT 8:56

Thankyou, Sorry and Please.

~ Good Friend ( Shyd)

-


13 AUG 2018 AT 19:07

Being selfless is my way to be selfish.

-


13 AUG 2018 AT 19:05

Blaming starts when logic ends

-


11 AUG 2018 AT 21:59

Ye toh hum samjh gye ki suraj ek hi ho skta hai, ab toh hmare sapne bhi vaise aate hain jo hum kar sakte hai, Ab toh aankh bhi puri na khoolti kyunki sapne kahan pure hote hai


Par ye toh bacche hai nadan hai, suraj bhi 4 bnate hai, khwab bade dekhte hai, aankh puri kholte aur zindagi khul k jeete hai

Kismat p toh hum bharosa karte hai yeh toh sirf mehnat krna jaante, Hum madat krne ka madlab jaante hai par yeh toh karne k baad bhi nhi jaante hai

Kehne ko toh hmare students hai par asliyat mein toh hum inke student hai kyunki hum toh inhe padhna sikhate hai par yeh hme jeena.

Jahan hum khud ko nhi jaante aur vada karte hain ki inki pehchan inhe dilwayenge par yeh na kuch bole na vaada kare par hume khudse milvayenge.

Nadan toh hum hai ki inpe gussa kar inhe rulate hai aur phir inki galti tehrate hai par asli mahan toh yeh hai jo agle pal hmare gale lag jaate hai


-


9 AUG 2018 AT 11:28

Sawaal ki khawish hai jawab chahye kuch bhi ho, kyunki baat ho kaam ho sochna ho bolna ho likhna ho sab shuru toh sawal se hota hai ,

Par ye sawaal ki khawish jawab ki jarurat ki nahi bawaal ya behaal ki dargish hai

-


9 AUG 2018 AT 11:01

Sawaal ki khawish hai jawab chahye kuch bhi ho, kyunki baat ho kaam ho sochna ho bolna ho likhna ho sab shuru toh sawal se hota hai ,

Par ye sawaal ki khawish jawab ki jarurat ki nahi bawaal ya behaal ki dargish hai

-


Fetching Shubham Vyas Quotes