Jeena kya jeevan se haar ke..
Patjhad ke bad bhi to aate h us ped k liye din basant bahar ke..
Jo tum sochte ho ki abse jiyenge khud ko is samaj ke tay kiye huye niyamo ke Sanche mei dhaal ke..
Kabhi socha hai kab tak jindgi kaat paoge aise apni chahato or apne sapno ko marke?
Logo ka kam hai kehna vo to kahengy..
Ye tumpar hai ki tum unki bato ko ansuna kar apny sapno ko bulandiyo tak pohchaoge..
Ya fir yuhi benam reh jaoge jindgibhar unki baato ko apny mann mei utaar ke..
Chalo ye batao, ki kabhi jo tumhari gaadi beech sadak mei band pdgyi to ky baith jaogy tum raste mei ye kissa bhi apni qismat ke hatho harke?
Ya fir paar kar jaoge is mushkil ko apni sari koshishe ajma ke?
Samay to udta panchi hai;
Kya miljayga tumhe vo panchi kitna udaa kitna nahi ye paimaane jan ke..
Ha jo tum jee gaye us har ek lamhe ko jo vo panchi tumhy diye chly ja raha hai,
To likhwa lo shikwa nhi hogi tumhe apni jindgi maut ke hatho saunpte jab vo aygi tumse milne kabhi darwaja khatkhata ke!
Akhir jeena kya apni jindgi ko berang bana ke..
Kisi ki maut ke bad bhi aate hai din tyohaar ke..💜
- //Shruti
24 JUL 2019 AT 10:01