Main ek aisa waqt gujar rahi hoon,
Akele rehne ki aadat ko sehla rahi hoon,
Aadat pad gayi hai ab iss kadar
Pyaar ki taraf se tanhayi ki,
Kisi aur ko zindagi mein aamantran dene se
Main ab khud ko bachana chah rahi hoon.
Pyaari hai yeh mujhe apni aazadi,
Pyaari hai mujhe yeh meri chanchalta,
Pyaara hai ab mujhe apna samay sirf khud ke liye guzarna,
Pyaara hai apni bhavanao ko sirf apne liye sawarna,
Pyaari hai yeh bachkaniyan,
Pyaari lag rahi hai ab yeh mujhe meri tanhaiyan.
Na kisi ki na ko hai sunna,
Na hai kisi ki haan ka intezaar,
Khud mein khush hoon,
Mast magan hoon,
Main ek aisa waqt guzar rahi hoon,
Akele rehne ki aadat ko sehla rahi hoon.
-