Mai
Has kar apne gamon ko chupa leta hu
Be vajah khudko rola deta hu
Samjh nhi aata mai kya karu
Jindgi jine ke liye khudko,
marne ke liye mana leta hu
Samajha kar khudko aage badha leta hu
Hoshla dekar Jemedariyaan utha leta hu
Dard bhara hai bheshak sine mai
Dil ke aage thoda dimag lega leta hu
Chhor deta hu biti baton ko,
kismat ka likha apna leta hu
Mai Karta hu koshish har bar badlne ki
Apni kamajoriyon ko apni takat bana leta hu
Log kehte hai tu akele kya kar payega
Mai tasveer khuda ki dekha deta hu
Mera bita kal mujhe aaj bhi mujhe rulata hai
Mai has kar usse gale laga leta hu.- Shivam Kumar poetry love
28 JUN 2023 AT 22:10