Shibam Roy   (Dil Ki Baatein)
152 Followers · 77 Following

Kuch batein raaz hi rahe to achcha hain.......😌
Joined 29 February 2020


Kuch batein raaz hi rahe to achcha hain.......😌
Joined 29 February 2020
28 SEP 2023 AT 19:45

Pyaar ke iss bazar meye,
Pyaar karne wale to bohot milenge...
Magar uss pyaar ko nibhakar,
Aant tak sath dene wale bohot kam milenge.

-


27 AUG 2023 AT 0:34

Kash main tumse keh pata,
Tum mere lia kitne khas ho.
Tumhari khushi dekhkar,
Mere rooh ko sukoon milta hain.
Tumhe haste dekhkar,
Mera dil jee uthta hain.
Tumhari un aankhon main,
Mano meri puri duniya basti hain.
Tumhari kamiyabi main,
Meri kamiyabi dikhti hain.
Jaane anjaane main hi sahi,
Mujhe tumse mohabbat ho gayi hain.

-


18 AUG 2023 AT 22:25

Shayad sabhi ne tumko,
Apne insta stories main mention kia hain.
Shayad sabhi ne tumko,
Apne zaroorat ke waqt par yaad kia hain.
Lekin maine tumhe,
Mere har ek dua main yaad kia hain,
Mere har ek khushi ke pal main,
Bass tumhara hi khayal aya hain.

-


16 AUG 2023 AT 22:34

Woh kehte hain na,
Jise rehna hain woh theek reh jayega.
Chahe kitne wajah ho chor jaane ke,
Magar theek ek wajah nikaal ke woh reh jayega.
Pyaar main,
Ek-dusre ke hath ko pakadna badi baat nahi,
Magar us hath ko aant tak tham ke rakhna
Sabke baas ki baat nahi.

-


13 AUG 2023 AT 23:59

Kash tum meri aankhon ko padh pate,
Kash tum meri dil ki haal jaan pate,
Kash tum meri khushi ki wajah jaan pate.
Log kehte hain main pagal hoon,
Kash woh meri pagalpan ki wajah jaan pate.

-


11 AUG 2023 AT 1:09

Woh pyaar hi kya,
Jo tumhari aadat na bane.
Woh pyaar hi kya,
Jo tumhari khushi ki wajah na bane.
Gam to puri duniya degi tumhe,
Kyun na pyaar dene ka haq sirf mujhe mile.

-


7 AUG 2023 AT 22:46

Tumne hi mujhe sikhaya hain
Manzil se zyada khubsurat,
Safar hota hain.
To kyun na hum
Manzil ki fikr na karke,
Safar ko yaadgar banaye.

-


31 JUL 2023 AT 23:57

Kya mehenge taufe dene se pyaar hota hain?
Yaa phir mehenge restaurant meye jane se?
Nahi!!!
Agar pyaar main mehenga taufa kuch ho,
To woh waqt hain!
Tumhare sath waqt guzarna,
Ek sath dher sari baatein karna,
Har mushkil ghadi main,
Ek dusre ka sath dena
Shayad yahi pyaar hain.

-


31 JUL 2023 AT 0:20

Ek-wada karogi mujhse?
Haan hun main thora pagal,
Hun main thora nadan.
Kabhi kabhi gussa bhi karunga
Magar in sabse zyada,
Tumse beintehaan mohabbat bhi karunga.
Basss ek wada karna mujhse,
Chahe jo ho jaye kabhi chorke na jana.

-


29 JUL 2023 AT 23:29

Kuch kehte hain, "Woh bohot ziddi hain".
Mere lia woh,
Ziddi kam samajhdar zyada hain.
Kisi ke lia, "Woh bohot nahre karti hain".
Nakhre karna hi to use mere lia khas banati hain.
Koi koi use bohot moody kehte hain
Hyaan moody hain isiliya,
Har situation main, mera mood sahi kr deti hain.
Pyaar ho to kamiyan kam,
Khubiyan zyada dikhne lagti hain.
Agar aisa koi hain tumhare zindagi main,
To use sambhal ke rakho kyunki pyaar
Naseeb walo ko hi milta hain.

-


Fetching Shibam Roy Quotes