Swabhiman
Kadam rkha hai mene uss chaukhat par aake,
Jaha khushio se bhara aangan hai.
Muskurate hue chehre khade mera intezar krte hue,
Mera swagat ka intezar hai
Waqt beeta ,kadam bade,
Muskurahat badli,Zindagi badli,
Izzat se beizzati mili,
Rani se nokrani Bani,
Aur mohabat to bss naam ki reh gyi ,
Ek din tay kia apna raasta ,
Zindagi padi thi abhi to aage bhut,
Kuch krna tha ,ladna tha,
Sehna nhi tha muje bas aur.
Ladna tha Apne liye ,Apne wajood ke liye.
Ladna tha apne swabhiman ke liye ,
Yhi hai ek ladki ki sbse phli pehchan.
- Shahana Ansari
23 FEB 2019 AT 17:13