Humne khud ko manana seekh liya hai
Khwahishon ko apni dabana seekh liya hai
Mushkilein kayi dekhi rishton mein
Lekin humne rishtey nibhana seekh liya hai
Dard ko apne muskurahat mein na chhupao
Humne ankhon se padna seekh liya hai
Ab tum nakab pahen kar ao
Kyun ke humney benakaab karna seekh liya hai
Kaash ke tum saath nibhate us waqt
Ab humne khud ka sath dena seekh liya hai
Hum tumhari Nazar mein kamtar hi sahi
Ab khud ki nazar mein bahtar rahna seekh liya hai
Ab raaston ke kaanton ki parva nahi
Humne angaron par pair rakh kar jeena seekh liya hai
Duniya wale humko Jo bhi samjhe
Humne khud ko bahtar samaj na seekh liya hai-
Wish me on 15th March
S.N.A IS MY BELOVED FATHER'S NAME
Pl... read more
Safar to bahut hotey hain
Par kuch aisa safar bhi hojaye
Ke shree cement ka plant aane se pahle
Hum sab masti me magan hojayein-
Ibteda ki humne qaum ko jodne ki
Bacce ki shakal mein
Bugs khatam howa Engineer's ke darmiyan
dosti ki shakal mein
Mil baithey kayi sonch key log yahan
Ek nayi sonch banane ki shakal mein
Inshallah khuda kamyab karega is Bacce ko
Ek kamyab manzil ki shakal mein-
Main dard bayan karne baithun to ansu nikal jaye
Sabr karte karte zindagi nikal jaye
Kahne ko zindagi bahut asaan hai
Par taqwe ke sath jeena sonchte sonchte rooh nikal jaye-
Ab aur kya chahun us rab se
Jo Bina chahe har chahat puri karta hai
Thi kuch adhuri si khwahishein meri
Jo Maine rab ki bargah me Qubul hotey dekha hai-
Har khushi teri barqarar rahey
Kamiyabi tera intezaar karey
Rukawatein tujhse door hojaye
Tu neiki ki raha pe mashoor hojaye
Ho Mubarak tujhe Janam din tera
Khuda khushiyon ka laye naya savera.
Many more happy returns of the day
Happy Birthday Mr. ANWAR SNA-
Bahut dekha humney is badalti
duniya mein badaltey logon ko
Hamari Khushi mein kam aur
gam mein ziyada hastey hain-
Zindagi ko jeena hum ney seekhliya hai
Ab raaston ke kaanton ko nazar andaz karke guzartey hain-
Life is like a river
Enjoy each turn
Because these turns
will never return in your life-