Baaton ko samajhte ho,
Kabhi khamoshi bhi samajh liya karo|
Aankhon mein kho jaate ho,
Kabhi un isharon ko bhi pehchaan liya karo|
Chehre ko padhte ho,
Kabhi man ko bhi padh liya karo|
Muskurahat dekhte ho,
Kabhi udaasi ka bhi puch liya karo|
Saamne shaant bhav dekhte ho,
Kabhi man ke hulchal ko parakh liya karo|
Dikhate ho apne ho,
Kabhi khud bhi maan liya karo|
Sabko kehte mujhko jaante ho,
Kabhi sach mein jaan liya karo|-
Writing is my choice,
Liking is ur choice,
So just scroll up,
And read the quotes.
A... read more
Maanga rab se iss manzar ko,
Par socha na , jaana na tha,
Haseen hoga yeh kuch iss tarah,
Jahan dua maangne par duayein mile,
Aur khushi ke badle khushiyan mile....-
рдлрд╛рд▓реНрдЧреБрди рдХрд╛ рдорд╣реАрдирд╛ рдерд╛,
рдереЛрдбрд╝реА рдардВрдб рдереЛрдбрд╝реА рдЧрд░рдо,
рдЦреБрд╢рд┐рдпреЛрдВ рдХреА рдмреМрдЫрд╛рд░ рд╣реБрдИ,
рдЪрд╛рд░реЛ рддрд░рдл рдкрд▓рд╛рд╢ рдлреВрд▓ рдХреА,
рд░рдВрдЧ рдмрд┐рд░рдВрдЧреЗ рд░рдВрдЧ рд╕реЗ рд╕рдЬреЗ,
рдЧреБрдЬрд┐рдпрд╛ рддрд▓рдиреЗ рдХреА рдЦреБрд╢рдмреВ рдмрд╣рдХреА,
рдЪрд╛рд╕рдиреА рдореЗрдВ рдбреВрдмрддреА рд╣реБрдИ рдорд╛рд▓рдкреБрдЖ,
рдФрд░ рджрд╣реА рдореЗрдВ рддреИрд░рддреА рд╣реБрдИ рджрд╣реА рд╡рдбрд╝реЗ,
рдХреБрдЫ рдРрд╕рд╛ рдкреНрд░рддреАрдд рд╣реБрдЖ рдорд╛рдиреЛ рдХреА,
рдкрд╣рд▓реА рд╡рд░реНрд╖рд╛ рдХреЗ рдкрд╣рд▓реЗ рд╡реЛ рд╢рд╛рдВрдд рд╣рд╡рд╛!!
рдлрд┐рд░ рдХреНрдпрд╛?
рд░рдВрдЧреЛрдВ рдХреА рдмрд╛рд░рд┐рд╢ рдореЗрдВ рднреАрдВрдЧрддреЗ рд╕рднреА,
рдардВрдбрд╛рдИ рдкреАрдХреЗ рдорд╕реНрдд рдордЧрди рд╣реЛрддреЗ рд╕рдм,
рдЧреБрд▓рд╛рд▓ рдЙрдбрд╝рд╛рддреЗ, рдкрд╛рдиреА рдлреЗрдВрдХрддреЗ рдФрд░ рдлреЗрдВрдХрддреЗ рдЧреБрдмреНрдмрд╛рд░реЗ,
рдорд╛рдиреЛ рдХреА рдмрд╛рд░рд┐рд╢ рдХреЗ рд╕рд╛рде рдЧрд┐рд░рддреЗ рдмрд░реНрдлрд╝,
рдЦрд┐рд▓рдЦрд┐рд▓рд╛рддреЗ - рдирд╛рдЪрддреЗ рд╕рднреА рдЬреИрд╕реЗ рдХреА рдореЛрд░,
рдЖрдЦрд╝рд┐рд░ рд╣реЛрд▓реА рдЖрдпреА рд╣реИ рдХреИрд╕рд╛ рдирд╛ рдордЪрд╛рддреЗ рдзреВрдо!!-
Phalgun ka mahina tha,
Thodi thand thodi garm,
Khushiyon ki bochar hui,
Charon taraf palash phool ki,
Rang birange rang se saje,
Ghujie talne ki khushboo behki,
Chasni mein dubti hui malpua,
Aur dahi mein tairti hui dahi vade,
Kuch eisa prateet hua mano ki,
Pehli varsha ke pehle vo shaant hawa!!
Phir kya?
Rangon ki baarish mein bhingte sabhi,
Thandai peeke mast magan hote sab,
Gulaal udate, paani phekte ,phekte gubbare
Mano ki baarish ke sath girte baraf,
Khilkhilate nachte sabhi jaise mor,
Akhir Holi aayi hai kaisa na machate dhoom!!-
Phalgun ka mahina tha,
Thodi thand thodi garm,
Khushiyon ki bochar hui,
Charon taraf palash phool ki,
Rang birange rang se saje,
Ghujie talne ki khushboo behki,
Chasni mein dubti hui malpua,
Aur dahi mein tairti hui dahi vade,
Kuch eisa prateet hua mano ki,
Pehli varsha ke pehle vo shaant hawa!!
Phir kya?
Rangon ki baarish mein bhingte sabhi,
Thandai peeke mast magan hote sab,
Gulaal udate, paani phekte ,phekte gubbare
Mano ki baarish ke sath girte baraf,
Khilkhilate nachte sabhi jaise mor,
Akhir Holi aayi hai kaisa na machate dhoom!!-
Khali kagaaz sa jeevan tha mera,
Syahee se likh, bhar diya tune..
Shabdon ki tarah tha mein,
Par tumne usse kahani likh dali..
Ek ki kimat na thi, isiliye sath rehkar,
Tumne toh pushtak hi bana di..
Sath sirf yahin tak nahi....
Balki,
Kisi kone pe padhe rehne wala mein,
Dhool se, gandagi se latpat,
Aaj usko sabke beech charchit karke..
Aur sath rehkar uski chamak ko aur tez kar di....-
Khushi sirf patang udane mein nahi,
Balki dodke, bhaag ke lootne mein aati!!!-
Aaya tyohar, Patango ka,
Sath mein pakwaan bhi laaya,
Thand se bhari subah,
Nadi mein dubki lagaye,
Suryadev ko jal arpit kiye,
Koi khaye dahi chura,
Toh koi khaye atrangi pitha,
Sang mein teel aur nariyal laddoo,
Pehene naye kapde,
Chal diye patang bazi ki taraf,
Aur lut te fire use din bhar,
Patange kat bhi jaaye,
Par khushiyon chalakti rehti!!!-
Koi achcha toh koi bura,
Koi kam toh koi zyada,
Koi avval toh koi madhyam,
Koi khush toh koi dukhi,
Koi shaant toh koi chanchal,
Koi pehle sidh toh koi baad mein,
Magar safalta sabko milti
Toh kyun kisi ki prapti se jalna......-
Ummeedon se bhara yeh saal,
Aur kuch naya karne ki ichcha mann mein...
Puraane saal ke anubhav liye,
Chal pade uss naye ke taraf,
Jahan raashta toh maalum nahi,
Par himmat hai khub,
Kuch karne ki kuch paane ki...
Mulakaat ho sabhi ko,
Uss kamyabiyon ke panno se,
Jiski udaan se ek kitaab ban jaaye!!!-