Aaj maine bohot din baad asmaan dekha!
(Caption)-
ā¢Working on my First book.
Use #thesuicidal... read more
Wo jagah jahaan kuch bhi jhutha nahiƱ hai,
Magar kisi bhi baat mein sachhayi nahiƱ hai!
Jahaan k paerh aseem khoobsurat hai,
Jahaan k phooloƱ ki titliyaƱ iss par kabhi aayi nahiƱ hai!
(Caption)-
Imroz ek gul-naar ne poocha ik sawaal,
K o likhne waaley, hai mere mann ka ek khayaal!
Tum harf se khelte rehtey ho,
Har roz koi she'r nayaa kehte ho,
Kya tum jaantey bhi ho ki kya shayari hai?
(Caption)-
Kintsugi (éē¶ć, "golden joinery"), also known as kintsukuroi (éē¹ć, "golden repair")//
is the Japanese art of repairing broken pottery by mending the areas of breakage with lacquer dusted or mixed with powdered gold, silver, or platinum.
(Caption)-
Khalish ek hi hai
saaki ko may-khaane se!
Har koi laut kar toh aata hai,
Magar kisi na kisi dukh k
Bahaane se!-
Mufiid tha kya mera saara tujhpe lutt jaana hi?
Hota mehboob koi aur toh karta kya nahiƱ?
(Caption)-
Raaz har dafn chhupaayii huyi
tasveer mein reh jaayega kya?
Jo kisi ko bhi nahin mila, har ek ki taqdeer mein reh jaayega kya?
(Caption)
-
Jo jeevan aap nahiƱ jee paaye usska khayaal aapko aseem sukh aur asehniya dukh dono dene ki shamta rakhta hai!
(Caption)-
Ghum ki baat toh ye hai k ab ghum bhi nahiƱ aatey!
Shikwa tha k tum kabhi milte nahiƱ ho,
ab toh khud ko nazar hum bhi nahiƱ aatey!
(Caption)-