Her insaan alag hota hai....
Koi gusse wala...
To koi hasmukh hota hai...
Koi jhukne me vishwas rakhta hai...
To Koi khud me hi itraata hai....
Koi sabar se dunia jeet jata hai...
To koi jald-baazi me, thokar kha gir jata hai...
Koi padh likh kar gentlemen kehlata hai...
To Koi nasho me padhke nashedi ban jata hai...
Koi gareeb hoke bhi dil se ameer ban jata hai...
To koi ameer hoke bhi dil se fakeer ho jata hai...
Koi uch vichaaron se sadhu ban jata hai...
To koi mandir jaake bhi shaitan hi rehta hai...
Isiliye bhi her insan alag hota hai...
Kyoki...
Koi dusro se sach chupata hai...
To koi khud ko hi jhut bol jata hai...-
Arjun ka maan...
Subhadra ka abhimaan tha wo...
Itihas ke panno me...
Virta ki misaal tha wo...
Bhishma ka pota...
Pandavo ki shaan tha wo...
Mahabharata me hunar dikhane wala...
Ek veer-kamaal tha wo...
Draupadi ka vishwas...
Sahas ka praman tha wo...
kauravo ki sena pe bhaaree...
Yodha mahan tha wo...
Krishna ka bhanja...
Nidarta ka naya naam tha wo...
Mar ke bhi amar hai jo...
Abhimanyu hai wo...
Abhimanyu hai wo... ЁЯЩП-
Ek pal me...
Zindagi badal jati hai...
Kabhi runk se raja...
To kabhi raja se runk ho jati hai...
Ek pal me...
Kismat badal jati hai...
Mehnat karo to...
Hatho ki lakire badal jati hai...
Ek pal me...
Her mushkil dur ho jati hai...
Irade pakke ho to...
Her manzil mil jati hai...
Ek pal me...
Insan ki fitrat pata chal jati hai...
Khushi me gale lagne wale...
Dukh me peeth dikhate hai...
Ek pal me...
Sari umer nikal jati hai...
Waqt guzar jata hai...
Sirf yaadein hi reh jati hai...-
Aaj purani rahon se...
Gujarne ka mann karta hai...
Firse un galiyon se...
Nikalne ko mann karta hai...
Jahan kuch apno ko...
chor aya tha main...
Jinki yaado ko samet
Bahut dur chala aya tha main...
Aaj unhi rahon se...
Jane ka mann karta hai...
Jin rahon ne chalna sikhaya tha...
Ek acha insan banaya tha...
Uchaiyo ko pane ka...
Sapna dikhaya tha...
Aaj unhi rahon se...
Jane ko mann karta hai...
Jis rah ne...
Bulandiyo ko chune...
Rasta dikhaya tha...
Duniya ko jitne ke...
kabil banaya tha...
Aaj fir unhi rahon se...
Jane ka mann karta hai...
Firse unhi galiyon se....
Nikalne ka mann karta hai...-
Kash kuch aisa ho Jaye...
Her din khas ho jaye...
Koi din na jaye khaali...
Aaj diwali to kal ramzan ho jaye...
Kash kuch aisa ho jaye...
Kabhi koi apna dur na jaye...
Kaam ke liye nikla her banda...
Sham ko wapis ghar laut aaye...
Kash kuch aisa ho jaaye...
Charo tarf bus pyar ho jaye...
khatam ho dil ke bair sabke...
Her dushman dost ban jaye...
Kash kuch aisa ho jaaye...
insaniyat ka hi dharm ho jaye...
Na rahe koi hindu-muslim-sikh-eesaee...
Her insaan ek saman ho jaye...-
Girte jaa rahe hai hum..
Gehraiyon me is kadar...
Na kuch soch paa rahe hai.
Na kuch kar paa Rahe hai...
Na aise the hum...
Na Aisi fitrat thi hamari...
Fir Na jaane kyo...
Badalte jaa rahe hai...
Khud se dur hote jaa rahe hai...
Chahte the hum...
Kuch kar dikhane ko...
Per na jaane kyo..
Bhatak te jaa rahe hai..
Dunia ke rang me rangte jaa rahe hai..
Jante hai anjaam iska hum...
Fir bhi hoke bekhabar...
Na jaane kyo...
Chalte jaa rahe hai...
Gehraiyon me girte jaa rahe hai..-
Aaaj ki dunia ki...
ek hi reet hai...
Jhut ko salami...
Sach ko peeth hai...
Seene se gale..
Peeth me teer hai...
Paise se ameer...
Dil se fakeer hai...
Hoto pe mithaas...
Niyat me khot hai...
Saamne se kuch or...
Piche Se kuch or hai...
Sukh me sath...
Dukh me dur hai...
Apni galti me bhi...
Dusro ka Kasur hai...
Aaj ki dunia ki...
Yahi ek reet hai...
Her pal me dhoka...
Her baat me fareb hai..-
Nahi rakhna matlab kisi se mujhe...
Na rakho tum me se koi mujhse...
Hai chand apne jo kaafi hai mujhe...
Nhi fark padta ab kisi se mujhe...-
Ek baar baat to karo...
Acha dost na najar aaye to kehna...
Ek baar bharosa to karo...
Dil mein na utar jaaye to kehna...
Ek baar hath to badhao...
Her kadam pe sath na de to kehna...
Ek baar mouka to do...
Koi kami reh jaaye to kehna...
Ek baar khud se to socho...
Sachai na najar aaye to kehna...
Hmare sath reh ke to dekho...
Khushi na mile to kehna...
Ek baar samajh ke to dekho...
Najaria na badal jaaye to kehna...
Ek baar bharosa to karo...
Apna na bana lo to kehna...-
Aao samjhota karte hai...
Firse ek sath hote hai...
Thoda tum Jhuko...
Thoda hum jhukte hai...
Aao milke sochte hai...
Roj ki ladai khatam karte hai...
Na tum hume jaano...
Na hum tumhe jaante hai...
Aao baat karte hai...
Ise dhang se samajhte hai...
Na tum humse koi matlab rakho...
Na hum tumse rakhte hai...
Aao wada karte hai...
Is baar ek faisla karte hai...
Tum apni jindagi jiyo...
Hum apni jeete hai...
-