Or pata h tumhari sabse badii jeet kya hOgi..?
tum badla naa lo, maaf kar do, usey jisne tumhe sabse zyada takleef di ho...-
Novel holic..📚
I'm not on Instagram , Facebook, or any other social media exc... read more
Us shakhs ki taQseem ka andaaz to dekhO...
Uska h khuda, khauf e khuda h mere liye...-
Ek gusal se hO jata h mard paak...
yaad rakhta h magar zamaana aurat ka maazi...-
chalO tum chor do mujhkO main wapis laut jaati hun..
tumhe manzil Mubarak hO, naya saathi mubarak hO..
magar phir aey mere maahi mujhe itna to bata do..
k waapis kis taraf jaa'on..? kaha se saath laaye the..?
mujhe itna tO samjha do agar aisa nahi muMkin
tO mujhe is tarah tOd do k main yaksar bikhar jaa'On
Bhatakne se to behtar h,
tumhare paSs hi mar jaa'On...-
But this time she didn't ask for him in Tahajjud...
She asked Allah for his bleSsful life, thought about his last words
"it's for our betterment, may be we deserve something better..."
she wiped her tears with smile...
and said, "give him someone better ya Rab..."
-
"Tauba ye nahi hoti k is gunaah ka depression le kar har chiz tiyaag kar baith jaO, tauba mayusi or khud aziyati ka naam nahi h.." Zubi usey samjhate hue boli..
"to phir kaise ki jati h tauba..?" wo halka sa boli...
"tauba al-nasooh ka matlab h.... insaan ko ehsaas e gunaah ho, phir nidamat e gunaah ho, phir maafi maange, or agar koi kaffarah h to wo adaa kare, phir dOobara wo kaam naa karne ka ehad(promise) kare..or phir ache kaam kare, tauba positive socha ka naam h, fresh start lene ka, nayi zindagi k aghaaz ka...
"Or phir sab maaf ho jata h..?" usne poocha
"haa, sab maaf ho jata h..magar har gunaah se bada gunaah pata h kya hota h..? apne gunaaho ko kisi bhi tarah justify karna..." or Zubi ne apni baat poori kar uska chehra dekha jisme nayi umeedein nazar aa rhi thi.. ---Rukhsar..💕-
Tum ne murjhaaye hue phOol kabhi dekhe h..?
dil ki Qabaro pe pare,
Hijr ki laash ki aankhO pe dhare tum ne uktaaye hue khawab kbhi dekhe h..?
Dard ki palko se lipte hue ghabraaye hue tum ne be chain dua'ien kabhi dekhi h..?
mohabbat k kinaaro par bhatak'ti phirti
Tum ne dekha h mujhe...?
kya kabhi dekha h mujhe...?
-
Suna hoga tum ne..
kahin aankhO ki rim jhim ka
kahin palko ki shabnam ka,
Parha hoga bohut tum ne
kahin lehje ki baarish ka
kahin saagar k aansOo ka
magar tum ne mere hum dum
kahin dekhe..? kahin parkhe..?
kisi tehreer (writing) k aansOo..?
mujhe teri judaai ne
yahi miraaj(bulandi) bakhshi h
k main jO lafz likhti hun
wO saare lafz rote hai...💔
-
Main apni zindagi me khushiyO k sOoraj dhalte dekhne ki is qadar aadi hO chuki hun k ab agar kOi mujhe khushiyO ki kiran dekhaane ki kOshish karta h tO main yaQeen nahi kar paati....💔
-
Aap fikar naa kare abbu, is se zyada tanha aap mujhe kar bhi nahi sakte, har shakhs apni zaat me tanha hi to hota h or mere sath to ye tanhaai humesha se hi h...tO main Q apne tanha hone ki fikr karu...?
jO tanhaai mere wajOod me ghar kar gayi h abbu wo logO ki bheed jama karne se kya kam ho jayegi..? nahi abbu, ye tanhaai mujh me bus gayi h or ye dilkash tohfa aap ne mujhe diya h...💔
---Rukhsar...💕-