Hain naa mujhe galat fehmiyaa...?
Tujhe jab bhi likha apna likha...💔-
Novel holic..📚
I'm not on Instagram , Facebook, or any other social media exc... read more
Suno humdum,
mujhe acha lagta hai..
Baadalo ka awaara udna, baarisho ka cham cham barasna, phoolo ka khilna or tumhara milna....♥️
-
Nazam uljhi hui hai seene me,
Misre atke hue hai honto par,
Lafz kagaz par baith'te hi nahi
Udte phirte hai titliyo ki tarah,
Kab se baithe hue hai hum jaanam,
Saada kagaz pe likh kar naam tera...
Bus! Tera naam hi hai mukammal...
Is se behtar bhi nazam kya hogi...?-
Main ne tumhari mohabbat waqt k rapper me lapait kar almaari me rakh chori hai,
Almaari ko qifl(taala) laga kar
Chaabi main ne gum kar di hai
Aqal maslihat k musalle(prayer mat) pe dua kar rahi hai...
K shehar k saare qaleed saaz ab chaabiyaa banana bhool jaaye'in ..
Magar dil ka wazeefa hai
Shehar k saare chor salamat rahe...😅-
Talluq aapse mera zarurt se zyada hai...
Zara sa ishQ se kam hai, mohabbat se zyada hai...-
Humara ye zara sa kaam kar de'in...
Humare naam bus ek shaam kar de'in..
Humari shayri achii lagti hai...?
Kaho to sab tumhare naam kar de'in...🥰-
Dhalta din...ujla aasmaan...door baithe parindo ki awaaz...qataar banaye gaye gharo ko laut'te hue panchi.. sar sabz o shadaab hare bhare darakht...neem khanak hawa ki patto se sarsaraahat, neem baaz aankhein...khaamoshi.. or tumhaari yaad k sang , lo guzaar liya ek or din...
-
Dumm hai toda meri har ek tamanna ne...
Tera aana bhi ab hai aana kya...? 💔-
Kya zaruri hai k har baat ki tasdeeq bhi ho..
Wo jo nazdeek nazar aata hai, nazdeek bhi ho..
Tum agar sahi munsif ho, to ye zaruri to nahi
Tum jise thik samajhte ho, wo thik hi ho...-
Jab tak hum ye sochte rehte hai k koi aisa ho jo smjhe.. takleef naa ho uski kisi bat se.. tab tak hm takleef me hi rehte hai... Qk insaan kabhi bhi samajh nahi skte... Beylous nahi ho skte kisi dusre insan k liye... Aisa koi insaan nahi hota jo apko takleef nahi deta... ek sirf Allah hi hai jis k kareeb jaa kar insaan kabhi koi nuksaan nahi uthaata.... Jo samajhta hai aur kabhi takleef nahi deta....
-