وليتلطٌف
walyatalattaf
18-Surah Kahaf ki 19th ayat ka ek lafz h "وليتلطٌف"
ye Quran me tora bada kar k likha hua hOta h Qk yaha Quraan pak ka darmiyaan aa jata h..ye pOore Quran pak ka khulaasa h or iska tarjuma h : "or narmi se baat kiya karna.."
Jab Allah ne Musa A.s ko firaun k paSs bheja tO bhi yahi kaha tha k tum us se narmi se baat karna, shayad wO maan jaaye..?
kaun maan jaaye..? wO insaan jis se zyada mutakabbir or ghamand wala shakhs is dunia me koi or aya hi nahi..
Zindagi kitni badal jaye agar hm is baat ko maan jaye k narmi se baat karne ka matlab bewaQoofi or kamzori nahi bal-k aajizi or aala zarfi h.. ---Rukhsar...💕- Zubi...💕
24 OCT 2017 AT 2:30