Mujhe pyaar nahi hota ab. Ek baar hua tha, kai saalo pehle. Uske baad se jaise bas kisi se kareebi se darr lagta hai. Mann ki gareebi hai shayad. Par haan, ab yakeen karwa deta hu. Pyaar hone aur yakeen karwane me kitna fark hai, isko samajhne me ek-chauthai zindagi nikal gayi. Ab aas pass dekhu to yakeen karwane waale jyada dikhte hain, karne waale kam. Unki galti nahi hai waise, dusri baar chahne ki hadd kam ho jaati hai. Jitni jyada samajh, utni kam hadd. Jitni jyada umar, utni kam hadd. Pet ki titliyaan mar chuki hain, ab to laashein bhi nahi bachi unki. Time ne hamare saath saath unko bhi decompose kar diya. Ye to hona hi tha, isme dukh kaisa. Dukh bas ek baat ka hai ki main badal gaya, samay ne badal diya. Ghamand tuta hai, ab zindagi kaisi. Khair chhodo, aage badho, fizool ki baat hai.
-