RITESH SHARMA   (Rs creation)
105 Followers · 11 Following

read more
Joined 17 February 2018


read more
Joined 17 February 2018
12 OCT 2024 AT 21:44

Mai unhe apne kabil samajh baitha tha
Par unki khwaish aur khwab dekhkar
khudko paya aur samajh paya ki
Khudko hi kam aank baitha tha

-


5 JUL 2024 AT 23:29

Zindagi me kise ki aas mat rakhna
Kise ko itna dil k pass mat rakhna
Ki wo badal jaye toh gum ho
Aur jise tumhare kadar hi nahi
Uske liye tumhare aankhein nam ho.....

-


5 JUL 2024 AT 23:15

Arz kiya hai......

Mohhabat mein Ladko k liye
Ek bhi Maafi nahi hoti,
Aur ishq mukkamal karne ko
Ek hi janam kaafi nahi hoti

-


3 MAY 2024 AT 3:06

Khubsuraton mein khubsurat nayn naksha Masumiyat bharpoor hai ,
Agar Hum na bhi bandhna chahein tareefon k pul
Ye dil Ye Ankhein hamari,
Apko dekhne k baad har lafz har shayari mein
Apki tareef karne ko majboor hai........❤️

-


16 FEB 2024 AT 13:04

Khud par bharosa hai, Ghamand nahi !
Jiska bhi hath thamenge, uske liye ?
Khushiyan? paisa ? to sab lutate hai
Hum toh jaan luta denge....

-


7 FEB 2024 AT 23:35

Dosti to koi masla nahi hai,
Humare zindagi ka.,
Hum to mohhabat k liye bane hai,
Agar Wo miljaye toh !
Koi masla ho zindagi jeene ka...

-


24 NOV 2023 AT 12:38

Agar tum pucho...❓
Mere liye kya 🤨lasakte ho ?🤔
Mai nahi karunga 🙅‍♂🙊
Na CHAND🌕 ki Na TAROON✨ ki
Or Na hi SAUGAT 🎁💝 ki baat
Jab mai lasakta hun
Tumhare 🏡Ghar
BARAT
🤵
👬🎷🎹🥁👬👬👬

-


6 NOV 2023 AT 13:20

Ansuon ki mashque bharne lagi hai
Dil ka dariya behne laga hai
Dil gamgeen hokar
Ye Kehne laga hai
Tere ishq k talabgar hai hum
Jabse tumhara dedar hua hai tabse
Tumhara hi naam zuban se le kar
Lahu tak me behne laga hai

-


5 SEP 2023 AT 20:19

Mukkadar se naseeb hote hai
Is kadar sath nibhane wale
Tum wo naseeb ho
Aur mere bholenath
Tumhe us mukkadar mein likhne wale

-


23 AUG 2023 AT 1:38

Ki usse pehli mulakat me
Puchunga zaroor:-


Kismat to Meri bhi shandaar hai
Kuki hum par bholenath ka
Ashirwaad hai,
Ki meri zindagi me tumhara jaisa
Kirdar hai,
Jisse meri zindagi
Jaandaar hai........

-


Fetching RITESH SHARMA Quotes