Hasta hu mai wo mjhe
Rulati hai
Har choti choti baat pe
Muh banati hai
Khud dukhi ho to
Ghanta pakati hai
Apni baari mai "so ja jake"
Keh kar chuppati hai
Bht ziddi hai
Apni har baat manati hai
Galti khud karti hai
Aur gussa bhi khud ho jati hai
Bachche ho ya bade
Ye to sabko hi Bhati hai
Kyuki har rishta ye
Bhakoobhi nibhati hai
Dikhti h leher si
Chu kar man sabka wapas beh jati hai
Naseeb hai ye humara
Darwaza roz khatkatati hai-
Nazron ki baaton mai aakr
maine chain-e-karar lut ta dekha hai
Aksar, husn k libas mai
Maine malal bikta dekha hai-
Tmko khush dekh kar
Apni na-mojoodgi par sawaal hota hai
Pyar to bht tha,
Na jane fir kyu malaal hota hai-
Janna hai tmhe itna
Ki tmpe kavita likh pau,
Likhne ko itna ho
Par khayal samet te samet te so jau
Kch aisi kahaniya sunao
Jo tm khud ko bhi na dohrati ho
Jihne yaad karte karte
Akhen tmhari bhi nam pad jati ho
Wo sara kaha-suna batao
Jo apne hasi se chupati ho
Wo kisse bhi batao
Jisme apni nazre bachati ho
Wo sare khat bhi padhana
Jisme tmhara naam aaya
Wo sari yaadon mai lejana
Jaha tmne apna khoya
Aankhon pe tere to log likhte hai
Mjhe hai, un asuo pe hai likhna
Chain mai to sab sath aate hai
Tere bhayank sapno mai,mjhe sang utarna
-
Apni kashti mai, teri yaade samet ta jaunga
Kal ko agar saelab aaye, to phle keemti cheeze hi to bachaunga-
Ye saal tha, ek sapna tha
Mera nahi tu, fir bhi apna tha
Lade, hase, khele, roye
Har raat magar sath hi soye
Kabhi hum tmhare marahm the
Kabhi hum tmhare malal
Kabhi hum pyar sikhate
Kabhi laate uspe sawal
Tere jhoot hum pakadte
Tm pakadti humare
Jo samjhe is kadar apko
Nahi milenge log saare
Ye shayad na bataye
Ya shayad roz na jataye
par pichle 4 mahino mai
Tmhare jaane k kaafi sapne sataye
Yaad karo to kaafi
khushi k pal bitaye hai
Kaafi samjhote humne kiye
Kch tmse bhi karaye hai
Kch shikayate bhi hai
Hume tmse, jo vistaar mai batayenge
Magar abhi to kch din
Tmhare bichadne k gam mai bityaenge
-
Ja chuka hu is mod pe
Jaha leke tm mjhe ja rahi ho
Kehdo saaf, ab nahi hai ishq tmhe
mjhi se meri gardan kyu dabwa rahi ho-
Bhatakta rahe Sadko pe
Teri wo gali na mili
khushiya to har mod par thi
Par Kahi tasalli na mili-
वो रात थी सहेली मेरी
उसे चांदिनी चुरा ले गईं ।
अब तो हफ्तो में मुलाकात होती है
जब खुद चांदिनी अंधेरे में सोती है ।
-
Unki yaari nibhane mai
Itna doob gaye
Humne to Raate jag k kaati
Saale saare arman so gaye-