Teri pehli mohabbat na hone ka malaal nhi,
Teri pehli mohabbat na hone ka malaal nhi,
Main toh teri aakhiri mohabbat hona chahta hun,
Tere beete kal main gujre haseen lamho main na sahi,
Tere aane wale her lamhe main tere saath hona chahta hoon,
Tere gujre dino main tera dost na raha toh kya hua,
Aane waale kal main tera hamsafar hona chahta hoon,
Chahta hun ki tu mere naam ka sindoor lagaye,
Tere chere ki muskaan hona chahta hoon,
Tu meri mohabbat ki her dhun pe naache,
Pyar ki aisi jhankar chahta hoon,
Chahta hun tu mere saath her lamha gujare,
Tujhe mere din ka suraj
Meri tanha raaton ka chand banana chahta hoon,
Chahta hun mera her khwab poora ho,
Teri julfon ki ghani chaav chahta hun,
Teri pehli mohabbat na hone ka malaal nhi,
Main toh teri aakhiri mohabbat hona chahta hoon.-
10 NOV 2018 AT 21:43