Kalam ki Chingari pe maine Apne jazbaaton Ko seka h...
Shayar Bana hu kyunki maine iss zamaane Ko dekha h ...
Na chahte hue bhi khud Ko hasta hua dekha h ...
Yeh dunia bhi na yaar, Maine hr zarre Ko badalta dekha h..
Yeh ishq Mohabbat, hr chiz Ko maine lut te lutate dekha h
Shayad yeh Sab kuch upar wale ka lekha-jokha h...
Abhi toh tum shayd iss 'Adhooreshayar' se humdard rakho...
Par maine toh yaha Insaan palat te dekha hπ-
Message me on 8054406525 (WhatsApp)
Ranjish hi sahi Dil dukhane k liye aa
AA phir se, mujhe chod jaane k liye aa
Tujhse door hone k Baad ehsaas hua ki
Tu nahi tere Sath bhi ek dunia thi
Tu haqiqat mein na sahi toh khwabon mein mile
Jaise murjhaye phool kitaabon mein mile
H kuch shikwa, thode se giley
Is adhooreshayar Ko bhi uska Humraaz mile
-
Tujhe palko pe rakhunga Dil Laga k toh dekho
Jo parda h beech mein use hata k toh dekho
Tujhe Jannat se rubaru Roz karata rahunga
Ek Baar Zara mujhe aazmaa k toh dekho
-
Ishq h Fanaa ka naam, isme zindagi na dekh
Jalwa-e-aftab bun, zarre mein roshni na dekhβ
Ek dafa...sirf ek dafa
Ishq Ko bhi ishq ho toh main dekhu ishq ko
Kaise tadpe, kaise roye ishq Apne ishq meinβ
Na de apni Mohabbat Ko khuda ka rutba
Dil duniya mein jalega aur rooh jahannum mein π
Ae 'Adhooreshayar'...ishq Ko seene mein dafan karne se kya hoga...
Lakh zubaan pe taale lagago..yeh ishq toh aankhon se hi bayaan hoga...ππ-
Rooh meri jab pass tumhare toh kyu dilo mein doori ho
Jab sabki kahani ho chuki toh apni kyu adhoori ho
Saara zamaana wakiff h meri hasrat-o-zarurat se
Ki mujhko mujhse bhi jyada tum, sirf tum zaruri ho
Bata mujhko ae khuda ki tujhko kya keemat duu
Bas ek dafa is adhooreshayar ki Hasrat bhi poori hoβπ-
Dil Mera Roz koi nayi nadaani karta h
Aag mein Aag Mila k usi Ko Paani karta hβ
Apne hone ka ehsaas mujhe kuch hone se hua
Khuda se milna mera ek shaks Ko khone se huaπ-
Har shakhs mujhe zindagi Jeene ka tarika batata h
Unhe kaise samjhau ki Ek adhoora khaab h mera
Warna jeena toh Mujhe bhi aata h...βββ
Aansu ki boonde h ya aankho ki nami
Naa to upar aasma h aur na neeche zameen
Kaisa h ye ajeeb sa mod zindagi ka
Usi ki h jaroorat aur usi ki hain kamiππ
-
Kahi mile woh toh use kehna
Ki guzre Dino Ko bhula Raha hu
Woh Apne vaade se palat Gaya h
Main Apne vaade nibhaa Raha huπ€
Mere liye uske Dil mein Chahat na thi
Kisi Khushi mein koi daawat na thi
Adhooreshayar ne Dil apna uske kadmo mein rakha tha
Par use Zameen dekhne ki aadat na thiβββ
-
Tasweer jalaane se kya haasil hoga
Uss dard ko mitaane ki koshish kijiye
Jo khatam hua wo bura khwaab tha koi
Ab to khud ko jagaane ki koshish kijiye
Aaj jo paas h wo haqiqat h
Uss haqiqat ko apnaane ki koshish kijiye
Khoobsurat h haqiqat uss khwaab se
Apne dil ko samjhaane ki koshish kijiye-
Guzri pichli sardi meri
Jiski baahon ki garmaish se...
Rishtey usse khatam huye
Uske ishq ki farmaish se...
Woh khud hi aai, khud hi thehri, khud hi Chali gai
Khaali hath le gai
Jaane kya kya meri rihaaish se...βββ-