Teri kami si khalne lagi hai unn sard raaton mein,
Zarurat se zyada tu aadat ban gayi hai;-
ᴛᴏ ᴄʀᴇᴀᴛᴇ ɪᴛ..
❄ ᴇᴀʀᴛʜɪᴀɴ :- 5ᴛʜ ᴅᴇᴄ
And a cr... read more
Doob Raha hun main unn aankhon mein aaj phirse,
Tham rahi hai dhadkan teri muskurahat pe aaj phirse,
Uljhi hui woh zulfein jo tere chehre pe aarahi hai,
Kar rahi hai yeh hawa gustakhi aaj phirse;-
Hawaon mein ghule rangon ki tarah,
Tera rang bhi unme shaamil ho jaye,
Ek aisi hawa chale,
Aur sara aasman gulabi ho jaye;-
Kabhi samay mile, toh teher kar dekhna zaroor,
Kuch jane pehchane chehre bhi milenge tumhe iss bheed mein;-
Bikhri zulfon mein aaj bhi ulajh jati hai,
Meri neend unke khayalon tak ja ke;-
Stars never shine as bright as you,
Coz you shine with your brightness as the sun do,-
Hum padhte hai wahi kitaab mehez,
Jisme tera zikr hota hai, jisme teri baat hoti hai;-
Palke jhuka leti hai woh yuhi anjane se,
Raaz saare chupa leti hai woh mehez muskurane se,
Aaina bhi usse mohabbat kar baithta hoga kai dafa,
Gehri aankhon ke kuch Raaz padh baithta hoga kai dafa,
Yun shayari mein uski khoobsurati likh jana aasan nahi,
Aakhir woh kitni khoobsurat hai, usse bata pana aasan nahi;-
Uski ek jhalak pe, meri saans tham gayi;
Jaan le rahi thi woh, haste haste;-
HAMARE SHEHAR MEIN
Aaj titliya bohut udd rahi hamare shehar me,
Lagta hai mohalle me koi phool naya khila hai;
Aaj laal hai bohut aasman hamare shehar me,
Lagta hai suraj ko unka deedar hua hai;
Ek meethi si khushbu hai hawaon mein ghuli,
Lagta hai phir kisi ko kisi se pyar hua hai;
Aaj kohra bohut Ghana hai hamare shehar me,
Lagta hai phir kisi ko kisi se dhokha mila hai;
Kal raat barish bohut hui hamare shehar me,
Aur aaj sirhane takiya geela mila hai;— % &-