1 APR 2018 AT 17:19

Pehle Hume Ek cheez pasand aati hai
Thode dino mai wo napasand si ho jati hai
Phir kyu nahi Hume uss cheez ki Ehmiat samajh aati hai
Jiske liye ab na hum khush na jazbatti hai

Kuch dino tak usko bada pyar dena
Phir kuch dino mai jhutta ikraar dena
Annt mai bas usse akelepan sa yaar dena
Pade pade kisi kone mai yuhi maar dena

Cheezo ki nahi to logo ki Ehmiat hoti hai
Yaha paise se zyada insaan ki Ehmiat choti hai
Jeene ke liye to kapda makan or roti hai
Ehmiat ke Bina kabrr ke bahar bhi Ek zinda las hi Soti hai

Sambhal ke Rakho Apne yaaro ko
Ehmiat unse pucho jo milte nahi zararro ko
Rang khushiyon se bhare insaan se bhare bazarro ko
Ehmiat tumhe bhi yaad aayengi padke ese vichaaro ko

-RAHUL SHARMA šŸ˜‡šŸ˜‡

- Rahul Sharma