8 MAR 2019 AT 0:24

“Khoon apnā ho yā parāyā ho,
Nasl-e-Adam kā ḳhoon hai aāḳhir,
Juñg mashriq meiñ ho ki maġhrib meiñ,
Amn-e-ālam kā ḳhoon hai aāḳhir,


Bum Gharoñ par gireiñ ki sarhad par,
Rooh-e-ta’amīr zaḳhm khāatī hai,
Khet apne jaleiñ ki auroñ ke,
Zeest fāqoñ se tilmilātī hai,

Juñg to ḳhud hī ek mas’la hai
Juñg kyā mas’aloñ kā hal degī,
Aag aur ḳhoon aaj baḳhshegī,
Bhookh aur ehtiyāj kal degī,


Isliye aye sharīf insaāno,
Juñg Taltī rahe to behtar hai,
Aap aur hum sab hī ke āañgan meiñ,
Shama jaltī rahe to behtar hai..”

—Sahir Ludhyanvi

- راغب علی