Log kayi, kayi baatein kehte hai.
Kuch kehte hai, thoda bachpana dikhao.
Kuch kehte hai, tum aadayein seekh jao.
Kuch kehte hai, tum thoda ladakpan lao.
Kuch kehte hai, tum thodi si beparwah ho jao.
Jante ho, kayi naseeyatein milti hai muje aaj kal...
Aisi ho jao, aisa sa kar jao.
Par apne dil suno to main tumse kuch baatein kehna chaho.
Nahi ho sakti main beparwah ab, jimmedari rahi hai mujh par kayi ab tak.
Nahi dikha sakti main aadayein yu hi, bina kuch kiye kayi baar musibat mein padhi hu main yu hi!
Nahi aa sakta ladakpan modh kar mujh mein, kyu ki kabhi maine ye se vo sab dekha nahi.
Shayad tumhen main pasand nahi, ya shayad mujhe main khud he kabhi bhayi nahi.
-