15 DEC 2019 AT 19:59

Agar khilaf hai hone do jaan thodi hai
Ye sb dhuwa hai aasman thodi hai ,

Lagegi aag to aayenge ghar kai zadd mein
Yahan pe sirf hamara makaan thodi hai ,

Main jaanta hun ke dushman bhi kam nhi
Lekin hamari tarhan hatheli pe jaan thodi hai ,

Hamare muh se jo nikle wahi sadakat hai
Hamare muh me tmhari zaban thodi hai ,

Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nhi honge
Kirayedaar hai zaati makan thodi hai ,

Sabhi ka "KHOON" hai shamil yahan ki mitti mein
Kisi ke baap ka "HINDUSTAN" thodi hai...!!

- MiRz@...