Zikar tera
Mere Nazro se tu Dua hain kisi naseeb wale ki
Teri qeemat lagana bhi khuda ki tauheen lagti hain
Main likhdu tera naam har uss panhe par
Jaha baat khoobsurti ko bayan karne par aa jati hain-
Koi nahi sath mein na kisi ko yaad main.
Tujhse duur rehke bhi
Dekhu jo suraj wo tu dekh na paya
Tune guzarish ki jiss tarey se usey deedar mera ho na paya
Duniya ke dusre kone se mohabbat beshumar milti hai Mujhe tujhse duur rehkar bhi
Shayad isiliye tujse duur hoke bhi tera mere sang na hone ka eshas ab tak nai aya.-
Judaai
Teri mohabbat bhi humein tab naseeb Hui
Jab pal judai ke agaye the
Hum chup the
Na jane kyu yeh khamoshi kuch kehne ko agaye the
Teri khamoshiyan ne bayan kardi thi Teri juda hone ki khwaish
Wo kehte hain na har lamhe mohabbat ke khass hota hain
Tujhse bichad ke wo har ek lamhe yaad agaye the
-
Zindagi
Main har roz thoda zyada harne laga hu Ae-Zindagi tujse
Kuch karz hain tera mujhpe toh bata mujhe
Ab dheere dheere alag hone jo laga hoon tujse
Koi shikayat ho toh bata de mujhe
Main nahi lautunga ab bulane par bhi
Ae-Zindagi jab tak zinda hoon jina sikha de mujhe.-
Radhe
Main sach kahunga mujhe jhut pasand nahi
Hona tera mere sath kisi aur ki mujhe parwah nahi
Teri rooh se hain shiddat mujhe jismon ki talap nahi
Waqt Aisa hain ki tujhse bohot duur hoon
Tere sang chalna hain par kismat ko manzoor nahi
Waqt Aisa hain ki haarne ko bhi taiyaar hoon
Par inaam tu hain isiliye harna bhi manzoor nahi
Main dhundta hoon pal jo haseen the
Yaad karta hoon wo pal jab hum qareeb the
Par teri muskan insab yaadon pe mahram the
Par iss dard mein tera pyar isliye hain dard ko mitana bhi manzoor nahi.-
Jo mile akhri khatt toh rona mat
Manzil tak jane ke liye aksar raste badalne parhte hain
Alfaaz se likh chuka hoon teri mohhabat ko apne rooh mein
Kyuki kuch rishte alag hokar bhi nibhane parhte hain.
-
Zara pucho unse, Hum itne bhi bure the kya
Mohhabat toh meri aj bhi sachi hain, par uss waqt mere aansu unke liye jhoote the kya
Chalo wo sahi hum galat banke he khush hain
Par zara puchna unse ki kabhi unki khushi ki wajah hum bhi the kya.-
Ek baat zara sach batana
Dua mei usne kabhi mera zikar kiya tha kya
Hum toh jalte rahein aag mein haste hue
Rote hue usne kabhi mohbbat tak ka bhi zikar kiya tha kya.-
After life
Jaha milte hain zindagi ke baad wo jagah bhi kambakhat kitni haseen hogi
yaad rakhna zindagi ke usspar fir ek roz humari mulakat hogi
Haan shayad iss janam mein kuch pal he sahi
Par dua hain meri usspar tu sirf meri hogi.
-
Sindoor Tere naam ki
Tere naam ki sindoor maine apne mathe pe sajai hain
Jaana teri mohbbat se maine shadi rachai hai
Isiliye sath phero ki kasam ke pehle lavzon mei sirf teri he zikar ayi hain
Tu vaada kar mujhse
Vadda kar ki ishq yeh kabhi na tutega
Jo gaya tu toh rahungi main bhi na
Kyuki maine sirf sath jeene ki nahi shadi ki rasmo mein tujh bin marne ki bhi kasam khayi hai.-