Nazar ki hifazat karne Wala shakhs,,
Duniya ka sabse khushnaseeb,,
Sabse zyada kamyab,,
sabse zyada Ameer,,
Sabse zyada samajhdaar aur aqalmand,,
Sabse behtareen zindagi guzarne Wala,,
Aur aakhirat me jannatul firdaus ka mustahiq hota Hai,,
(read in caption)-
Jo yaad kar Raha Hai MOLA ko apne Dil me,,
Samjhey k usko MOLA bhi yaad kar Raha Hai,,
In'aam zikr ka ye Qur'aan ne bataaya,,
Zakir ko uska MOLA bhi yaad kar Raha Hai,,-
Soorat se muhabbat
karne walo'n,,
Soorat badalne par
afsos tumhara muqaddar Hai,,
Aur seerat se muhabbat
karne wale,,
Hmesha ki
progress-e-muhabbat
ki khush-khabri sun ley,,
(Baaqi caption me)-
Nadaa'n aainey
Ko Kya khabar
Ke Ye chehra to
duplicate Hai,,
Asal Chehra to
insaan ka
Kirdaar hota Hai,,,-
Ek din
marna Hai,
aakhir mot Hai,,
Kar le
Jo karna Hai,
Aakhir mot hai,,
-
Ye aalam aish-o-ishrat ka,,
Ye duniya kaif-o-masti ki,,
Buland apna takhayyul kar,,
Ye baate'n sab Hain pasti ki,,
Jahaa'n dar-asal weerana Hai,,
Go soorat Hai basti ki,,
Bas itni si haqeeqat Hai
Fareb-e-khwaab-e-hasti,,
K aankhe band ho
Aur aadmi afsana ban jaye,,
-
Lutf duniya k Hain Kay din k liye,,
Kho na jannat k mazey unke liye,,
Ye Kiya A Dil, to bas yu'n samajh,,
Toone nadaa'n Gul diye, tinkey liye,,-
A nou-jawaan
Aaina dekh kar kahta hai,,
K mai kaisa lag Raha hoo'n,,
Kaash k ek bar Dil k andar
Bhi jhaank kar dekhta,,
K mai kaisa hoo'n,,
(Read in caption)-
Unke MAJNOO
Unki LAILA to alag Hai,,
Meri LAILA to Meri bivi Hai,,
Jo mujhe mere RAB ne di Hai,,
(Read in caption)-
Husn k saaqi ko de do ye payaam,,
Mat lagaa munh se mere jaam-e-haraam,,
Aasmaano'n se utartie Hai Jo maiy,,
Uske peene ko kahaa kisne haraam,,-