Dekh kese nikhra hai, aasmañ barish ke baad,
Hum be ubrenge sitamgar,teri hr saazish ke baad.-
Hr aan watan ki shaan badhe ,tuje muflisouñ ki b dua mile,
Muje haq dila,mera maan ho,Meri ujratouñ ka b sila mile.-
Jise suraj ne bi na dekha ho,usēi darbar bulane pe,
Mehoob_e_Khuda ki beti ko din raat satane pe,
Asmaan_o_zameen bi roti hai,Zahra ki jinaze pe,
Toh hērat na kare dunya,mere ashq bahane pe.-
Pehli jesi taazigi ab kyu nahi hai baagh mai,
Sirf mosum hai, ya halaat b sakht hone ko hai !!-
Kehne ko mere hum_raah,dunya safar mei hai.
Yaadouñ ko le ke tere, tanha safar mei hai.-
Jise suraj ne b na dekha tha,usei darbar bulaane pe,
Mehboob_e_Khuda ki beti ko,din raat sataane pe,
Asmaan_o_zameen b roti hai,Zahra ki janaaze pe,
Toh, hêratt na kare dunya,mere ashk bahaane pe.-
Haalaat ne fir se khoahishouñ ko mehduud kr di hai,
Meri dairena maqsad se mujhe fir duur kr di hai.-