Ab to mutmaeen ho raha hoon mai apne aap se
Haqeeqat kisko achchi lagti hai Haqeeqat mein
Mai ne khud ko behtar paana hai khud se
Nazaare kisko behtar lagte hain ek si fehrist mein-
Sab mahez muthhi bhar bhi na raha mai ne sapne dekhe the bade bade
Meri aarzoowon ko kya saza mili
Mai ne ab mijaaz dekhe hain logon ke chade chade-
Ab woh mann nahi hai ki mann lagaya jaaye
Khwamakha hasrato ka na tamasha banaya jaaye
Tum ne mudkar dekha tumhara shukriya
Sab se mukhaatib hokar aakhir me humse yoon na mila jaaye
Nazar andaaz hona gawara hai magar yoon pahchaan se achcha hai humko bhulaya jaaye-
Masla kuch nahi Ek anjaan se mila tha me
Bas phir jise umar bhar yaad rakhne ki saza paayi hai mai ne-
Kisi ne gair jaan kar apna banaya mujhe
To kya farak padta hai kisi apne ne gair banaya mujhe...-
Unke bhi afsaane sun raha hoon aajkal mai jinke lafz nahi nikalte the hamare buzurgo ke saamne
-
Mai khush hoon is baat se ki mera ishq jeet gaya
Bewafai ki saari rasme woh shakhs peeth peechhe hi ada kar gaya
-
Ye kehna asaan hai ki woh khush rahe
Arre zaalim chaahe jitna bhi raha ho woh
Par dil hi jaanta hai woh mere siwa kisi ka na rahe
Chahon to aaj bhi paa loon ose
Kya itna asaan hai ki hum me se koyi bhi na rahe
Jao tumhe mubarak ho
Par dua karo ki meri taraf se tumhe aage koyi malaal na rahe
-
Kitna khush hoga woh ose paakar
Par unse zyada nahi jo uski giraft se chhoote hain
-
Kitna khoobsurat shaher tha woh
Ki sab kuchh barbaad kar gaya mera muskurate huwe
Ose kuchh na hua hoga mujhe maloom hai
Woh naam badla karti thi muskurate huwe-