Lachari kya hoti hai ye mai aaj samjha hoon
Rizq ki qadr kya hoti hai ye mai aaj samjha hoon
Sab kuch paas hote hue bhi skukr uska ada na kiya maine kabhi
Ek roti ke chaar tukde kar khane ki bebasi mai aaj samjha hoon-
Mere bure waqt ka Sooraj na jane kab dhalega?
Ab to ye aankhein andhiyare ko tarasti hain-
Wafaon ke samundar me doob chuka hu mai
Tujhe apna banate banate khud toot chuka hu mai
Tu mujhe ab is dard se azaad karde
Tu meri hoja aur mujhe abaad karde-
Teri mohaabat me zindagi apni hum khaak kar chuke hain
Tujhe yaad kar ke tanhaiyo se apni hum baat kar chuke hain
Tere ishq me magroor hokar karte rahe hum gunaah
Duniya toh kya hum aakhirat bhi apni barbaad kar chuke hain-
Ram bhi ek Rahim bhi ek
Kya bura hota jo hote hum Hindu Musalman bhi ek
Hain Tirange me bhi rang dono sath me
Kaash aise hi hote hum Hindustani bhi ek-
Mohabbat munafe ka sauda nahi lekin
Karobaar isi ka sabse zyada hua karta hai-
On the first day of love
My heart was beating like a dragon like i never felt before-
Zameendaari agar koi deta hai toh wo bas maut hi hai
Warna log to duniya me bas dawa hi karte hai-
Marenge fir jiyenge aur fir mar jaenge
Tum agar sath na hogi toh hum kidhar jaenge?-
Mohabbat karni hi hai to Allah aur uske Rasool se anas
Duniyavi mohabbat se to bas kafirat hi milegi-