Lag ke seene se uske peshaani chumne lage,
Nazar mili unse to bas lipat ke rone lage
Kamal thi uski muskurahat mujhe yaad hai,
Eik baar ke baad fir baar baar dekhne lage
Mujhko kehti thi ki aap to bas kuch na boliye,
Itna sunna tha ke ham fir aap aap karne lage
Lajawaab hai ke andaaza bhi nai unhe haalat ke,
Aur ham yaha unke naam zindagi karne lage
Kisi se suna ke wo uss gali me rehti hai,
Fir ye tha ham iss gali se uss gali karne lage
Unka khayal tha ke ham ne kuch na kiya,
Ab fikr rehti hai kamre me dhua karne lage
Meri dilkashi to dekho unke husn ke liye,
Ab to ham apne kamre se bhi nikalne lage
Aakhri baar dekha tha kahi jaate eik subh,
Uske baad se fir ham wahi shaam karne lage-
👉 Shayar
👉 Poet
👉 occasionally philosopher
👉19
👉Insta - mir_arastoo
👉jo... read more
Darkness resides in the corridor,
Mind goes back and again to her door
Gloominess has surrounded me,
And I'm lost at the gates of Mordor
Who will be my saviour at the sea,
Who will save me from going back ashore
Here is my body lying yet again abandoned,
And I thought that at the end I'll have honor-
Sukoon ab kisi baat pe yaha nai hota,
Ro bhi lu lipat ke fir bhi Araam nai hota,
Chahat ab kisi cheez ki nai mehsoos hoti,
Wajah - kisi aur ka Hukoom asar nai hota
Kya wajah rahi hogi unke narazgi ki,
Zehen me Inn Sawalo ke siwa aur kuch nai hota
Masoom paheliyo ko suljhaate rehte hai bas,
Ab mujh se Neend ka Intezaar nai hota
LaZzat to thi muskurane me kabhi yaad hai,
Ab ye kartab Koshish pe bhi nai hota
Goya ye kyu itna Mayuus hai Arastoo,
Maaz ye ke Jaan me Jaan maloom nai hota-
Shauq hamara bhi tha kabhi har roz kuch naya likhne ka,
Afsos - Qalam khoon-khoon karke nikal gaya josh likhne ka-
Maqam_e_aala hai mohabbat me fanah ho jaana,
Saalo ki dua-koshish-waqt-jazbaat eik pal me khatam ho jaana
Qadr shumaar tha unka jo mere har nikalte lafz me,
Taj'jub hai unn sab lafzo ka eik nazar me bemaani ho jaana
Kitni baate kiya karte the wo aur ham tanhayi me,
Sochne ke qaabil na tha unn raazon ka kabhi aam ho jaana
Shayad yahi hai Aakhir_e_Husool_e_Maqsad,
Apno ko Qurbaan kar ke kisi aala darje ka ghulam ho jaana
Jo kambakhat neend na aati thi bina unke saanson ko sune,
Dilchasp hai Arastoo ab ye marhoom dil ka bekhabar ho jaana-
Unki yaad me,
baar baar darbar me,
Ham khud ko lutaate gaye intezaar me
Nashe ke boond girte gaye,
aur log peete gaye,
bhook meetane ke khwab me
Nai chahiye thi usko meri mohabbat,
chali gayi fir wo,
kisi aur ke intezaar me
Akele the ham apne sawal ke saath,
dhoondhte rahe logo ko,
apne jawab me
Jo khil uthte the,
zara si baat sun kar,
ab bas muskurate hai numaish me
Logo ka kehna hai ye zinda dil the bohot,
mujhe to yaad nahi,
ab rote phirte hai bazaar me-
Har baat har kisi ko batayi nahi jaati,
Jo baat chupe na wo chupai nai jaati
Qubul hai tumko agar ye takht_o_taj to maang lo,
Hamse to ye zindagi ab jee nai jaati
Kya karenge iss zindah_dil makan ka,
Yahan ke shor se mujhe neend nai aati
Haal to ye ke dusre kamre jaana ab fuzool ho,
Aise me bhi wo iss shehar ko nai aati
Kyun rakhte ho shama_e_mehfil mere aage,
Hame to Shayari karni nai aati
Kaho to jhoot bol du tumko,
Par uski yaad bhulaye nai bhooli jaati
Ha, shayad mareez hu mai,
Par iss beemari ki koi dawa nai aati
Puchte hai mere kuch khair_khawah mujhse,
Arastoo tumhe apne zindagi par hansi nahi aati-
Dariya to ho gayi khushk dekhte dekhte,
Nikal gayi zindagi se bahaar dekhte dekhte
Unhone kaha tha chale jayenge na maane to,
Shaam ho gayi intezaar me unke dekhte dekhte
Qafila uth khada hua kuch der thehar kar,
Ham wahi apna gharaunda bana ke reh gaye dekhte dekhte
Bojha-baksa bhari utha ke jaaya karte the school ham,
Siyasat ne khaaq kar di saari taleem dekhte dekhte
Ab to bas chand lamho ki baat hai Arastoo,
Ye bhi guzar jayega jald dekhte dekhte-
Baat cheet band hai karobaar achha hai,
Na zor hai na zabardasti araam achha hai
Buri hai khwahishe ghar basane ki,
Apne liye to ye Weeraan Makan achha hai
Nahi hai zaroorat kisi ko daleel dene ki,
Wahid yaqeen hi khud pe achha hai
Qasoor kya mayoos karne waale ka,
Bhala iss duniya me Kon achha hai
Mat pucho kya malal hai Arastoo ko,
Wo kehte haiñ ye raaz hi achha hai-
Husn_e_Jamaal nahi to koi Malal nahi,
Khushnaseeb hai wo jinki ye Murad nahi
Bhala hai baaqi koi Maghreebi giraft se,
Muneeb ab iss duniya me koi baaqi nahi
Justuju me Jaa hain Jahañ ke Jahaan waale,
Junoon waalo ka Jurm ab Jaam nahi
Maazi ke mukhaatib hai Azaab sabhi,
Haya fir bhi tumhe insaan aati nahi
Asal to ye hai ke ghaur_o_fikr kare kon Arastoo,
Pehle si ab wo dilchaspi kahiñ jaagti nahi-