Jo sab ko mil jaye un cheezon ki ehmiyat zara kam hoti he is duniya me....,
Or mene to tujhe apni shayario me bhi kimati likha he janab..❤️🩹-
Jo sab ko mil jaye un cheezon ki ehmiyaat zara kam hoti he is duniya me....,
Or mene to tujhe apni shayario me bhi kimati likha he janab..❤️-
Roz likhlu tuje is kadar khaas he tu,
Aam sa din he,
Or tere sath na hone par bhi,
Tere hone ka ehsaas he tu....❣️-
Kaanch du tujhe toufe me,
Ya tera kamaya hua aj du,
Tune kaha tha kisi roz mujhse,
Tere man ko jo bhaye ya tuje dil se pasand aye voh muje de dena....
Abh me use hi usse kese mangu,
Vo khud hi toufa he ye kese batau,
Kese chupau usko uski hi nazron se....
Jo cheez meri kabhi hui hi nahi,
Kese mangu use in chand lafzon se......❤️🩹-
Tujse na milne ki,
Teri khabar na hone ki,
Tujse baat kiye begair 'jeene' ki hum adat dal rahe the,..
Bas adat to dal gai teri kami ki,
Jeene ki adat dalna hi bhul gaye .....❤️🩹-
Chal dekh le khwaab tu bhi,
Ja tuje ijazzat he,
Bas khwaabon me hakikat na dekh lena,
Kyunki tuje khush dekhna bhi kisi ki ibadat he.....❣️-
Ab jo mila voh kahi,
To itefaq hoga,
Humne use agar dhund bhi liya,
Shayad voh koi khwaab hoga....-
Kya karu Me ki raaton ko tere khayalon ke bina mujhe nind aa jaye,
Tere ishq si koi chadar odh lu,
Ya tujhse mu mod lu....❤️🩹-
Jaa tujhe ijazad he,
Dhundle koi mehboob,
Mujse zada tujhe chahne vala,
Mujhsa milega tujhe agar,
Ye teri nazron ka chalawa hoga,
Ya uska ishq mehez dikhawa hoga....
-
Waqt nhi uske pass,
Waqt nikalne ke liye...
Ya shayad busy rehne ke liye..
Waqt me se waqt nikal liye....-