Meghna Dutta Ā  (Meghna)
403 Followers Ā· 61 Following

read more
Joined 3 February 2018


read more
Joined 3 February 2018
5 FEB 2022 AT 22:53

Sikhsha Neeti ki baat hai bohot purani,
Ved Vyas the iski dor, ved aur upnishad the iske sarvocch sikhar par.
Dour Badle, Waqt badle sab kuch badla.
Dwapad yug se kalyug tak, Vidya ka tour bhi badla.

Gurukul se home school tak, safar tha bohot lamba,
Chunouti thi har ek adhyay par.
Vidya ka mol koi chuka na sake,
Ye bat thi sabke sir matthe par.

Dour badla neeti badli par sikhsha ye kabhi na badla.
Sresth guno ki charcha aj bhi wohi hai,
Jiska gyan pake panditya paya ramabai ne.
Jisko sravan karke mushak raja ne likha mahakavya tha.

Chankya neeti , birbal neeti aur kitne hi neeti jiski kalpana matr bhi dushwar hai,
Bharat ki janm bhumi in sabki sreejan karta hai.
Kautilya se chitragupta tak sabne hasil ki maharat hai.
Taxasila aur Naladana ye humara gourav itihas hai.

Blackboard se smart board tak ye iss jug ka parihas hai.
Offline se online tak ye sikhsha ki anokhi kahani hai.
Ye ikkisvi sadi hai, yaha kuch bhi ho sakta,
Kyunki sadiyon purani neeti firse naye swarup me dhal rahi hai.

ā€” % &

-


23 JAN 2022 AT 23:47

Kehte hai beti hona kisi wardan se kam nahi.
Kehte hai shakti tujhme bhi to kam nahi.
Kehte hai maata ki arti sabse pehle hogi
To kyun nahi kehte ki maata hai isliye arti hogi!!

Farak hai humme, aur ye kubul hai hume.
Dikhte jaise bhi ho, par insan hum bhi kamal k hai.
Rang rup ki beriyan ye to mehaz ek soch hai.
Kyunki sristi k rang me to sab kuch safed hai.

Wo nirjib nahi, usme bhi to pran hai.
Do pal ki hi sahi usme bhi aatma hai.
Jab pacho ungli saman nahi,
Par ek k bina ek mutthi bhi nahi.
Fir kyun ye bhed bhav hai??
Kyun ye doglapan hai??

Kehte hai har marz ki dawai hai.
Fir koi batao is soch ka kaise thik mai karu.
Aisi dawai kaha se lau??
Patanjali ka koi wardan lao,
Ki mai bhi isme dhal hi jau....


-


31 DEC 2021 AT 12:41

Inayat: Hello
Unknown Caller : Can I speak to Inayat Sharma?
Inayat : Yes boliye mai hi Inayat Hu
Unknown Caller : Ma'am mere dost ko bohot gehra sagma laga hai...Kuch bol nahi raha hai..bass apka nam bol bol k bar bar behos ho raha hai...Uske purse me apka visiting card dekha to socha apko cl kar lu.
Inayat : Ok ap patient ko lekar kar chamber me aa jaiye mai yahi hu
Unknown Caller : Ok, will see you soon

-


30 DEC 2021 AT 13:01

Juhi : Hey!! its Juhi
Mayank : Hmm to mai kya karu
Juhi : Nahi mujhe laga direct kam k liye
puchungi to accha nahi lagega na
mayank ne ye pehli bar juhi ko dekh)
Juhi : Aise kya dekh rahe ho? larki nahi dekhi hai kya
Mayank : Bohot dekhi hai par kisi ne kabhi mujhse aise baat nahi ki hai
Juhi : Are ye konsi nayi baat hai...kisi ko greet
karna ye to acchi baat hai na
Mayank :(Bade pyar se) fir karta kyun nahi hai koi??
Juhi : Koi nahi aj se mai puchungi na..

-


14 DEC 2021 AT 0:06

Kashmakash se bhari zindagi me,
Ek pal sukoon ka mil jaye to kehna.
Is ajnabi se sahar me koi apna mil jaye to kehna,
Ae musafir tu bhi thori der ruk ja na.
Bohot lamba safar hai tai karne ko,
Sath apne to mujhko le ja na.

Raste bhar tere sath chalungi,
Tu bass ek bar mujhe keh de na.
Zakhmi hokar jo tu gir jaye kabhi,
To teri kahani mai puri kar du na.
Dekh itni si ilteja hai tujhse,
Tu sath apne mujhe le ja na.

Raston me bohot se takrav ayenge,
Tu kahe to sath tera pakar lungi.
Tu girne lage to wapas tujhko utha lungi,
Par mayush kabhi na hone dungi.
Dekh tu mujhe apne sang le ja na,
Kyunki kuch tu kehna kuch mai kahungi.
Yuhi safar sath me chal de na,
Mai bass tere sath chalungi.
Tu bas ek bar mujhse keh de na.

-


8 DEC 2021 AT 19:27

Yu to Zindagi bhi thik hai,
Bass chali jaa rahi hai.
Warna badalon ka kya hai,
Ye to ghari ghari yadon ka sailab le aati hai.

-


6 NOV 2021 AT 23:20

Bohot asan hota hai kehna,
" Koi na do a fresh start."
Par asli baat to ye hai ki,
Kuch asan nahi hota.

Kyunki jab dono hath khali hote hai
Aur hosla jawab de deta hai...
Tab hota hai asli imtehan,
Khud ka aur sirf khud ka!!

-


24 SEP 2021 AT 12:04

Do pal sath chalne ki baat thi,
Us pal ko mehsoos karne ki baat thi.
Yu jo tum kahi kho gaye bichme hi,
To batao us pal me wo kya baat thi??

Kuch baat bohot galat thi sayed,
Ya fir kuch mahol galat tha sayed.
Kuch galatfehmi thi sayed,
Ya fir humara milna galat tha sayed.

Wo jo sahi galat ka mukadma humara hai,
Waqt ne use bade hi salike se samahala hai.
Kyun usko zaya karne ki himakat karte ho,
Tum thora to sabar kar lo fir humari rihayi hai.

Waqt ki tarazu me ishq ko tola gaya,
Khushiyo ka mol bhav kiya gaya.
Gali choraho par gum ko becha gaya,
Sareaam jasbato ko kuredan me feka gaya.

In sab ke bad hogi ek nayi subhe,
Jaha firse kabhi un rasto par hum mile.
To fir se chal denge sath tere,
Hogi na tab waqt ki dorahe.

-


13 SEP 2021 AT 21:38

Wo stri hai mard nahi hai,
Uske rago me bhi khun hai pani nahi hai.
Baat agar himmat ki hai to wo kisi se kam bhi nahi hai,
Wo agar srijita hai to wo vidhusini bhi hai.

Use jo ank le wo kala kisi ke pass nahi hai,
Kyunki uske ek rup nahi aneko bhed hai.
Apne apman ke liye mahabharat bhi rach sakti hai,
Aur is kal yug me wo Kiran Bedi bhi ban sakti hai.

Wo stri hai, kyunki wo sampurna hai,
Apne khun ke akhri bund tak laregi kyunki wo jhansi ki rani bhi hai.
Karkarati dhup me thandak hai wo,
Par kisi ke ghar ka bojh nahi hai wo.

Pakshastra aur arthshastra me bhed nahi karti,
Kyunki wo stri hai wo bhed bhav nahi janti.
Ghar ki bagdor bhi samhal sakti hai,
Aur samay ane par sikhandini bhi ban sakti.

Hazaro imtehano ko has kar par kar leti hai,
Par apne santano ke ghav par fut fut k ro padti hai.
Wo nirmam nahi matamayi hai,
Wo stri hai isliye wo kuch bhi kar sakti hai.

-


9 SEP 2021 AT 14:29

Ek sawal ka bas masla itna hai,
Jawab ki talash me bas mukamal asma hai.
Kuch khawabon ka silsila itna hai,
Jawab ki talash me ye baichain rooh hai.
Kuch purane panno ka masla hai,
Tabhi to itni kitabon me bhi sukoon ki khilafat hai.

Marz ki zarurat kya hai yahan,
Yaha to har dard ki kimat hai juda.
Do pal rusvai ki mile to khushnaseeb samjhna,
Kyunki yaha par to sab apne khel k pyade hai.
Gustakhi maaf ho ye kehna ab zaruri nahi,
Kyunki kuch sunne ke ye log mohtaj nahi.

Wafa ki umeed karna bhi fizul hai yahan,
Kyunki kanun to andha hi hai humesha se yaha.
Khudkhusi ka alam kuch is kadar bana hai,
Mano sulvai se pehle sazaye maut ka elan hai.
Kusur us timtimate taron ka nahi hai,
Kyunki ye kismat to khud humne likhi hai.

-


Fetching Meghna Dutta Quotes