Accha suno kabhi Mera khayal aaye To mujhe call karna mujhse baat karna Main kamiyabi ke safar pe chalna wala Tumhare hijr mein khudko barbaad kar baitha hoon
Hey agar tum padh rahi ho Dekho na tumhare jaane ke baad Eid mujhe bahot rulati hai Har lamha tumhari yaad dilati hai Kehti hai kaha hai wo shaqs jise tu apni eid manta tha Pata hai in aansuon ke saath aankh ki roshini bhi behti Jaa Rahi hai Har roj bahot yaad aati hai tumhari lekin Aaj hadd se jyada aarahi hai Yaara ab tum laut aao Ye eid mujhe bahot rulati hai
Tumhe lagta hoga waqt ke saath main tumko bhool jaunga To galat lagta hai tumhe Maine kaha tha ki Maine rabb dekha hai tum mein Aur rabb ko bhool nahi sakte.
Hey kaisi ho Agar tum padh rahi ho to laut aao Aaj bhi mere pass tumhara number hai lekin main call nahi kar sakta tumne mana kiya tha Par yaara tumhare pass to Mera number hai tum mujhe call kyu nahi karte Maine to tumhe kabhi mana nahi Kiya Maine to har roj tumhare call ka intezaar kiya Jis din tumhara call na aata khuda se duaen karta Aaj bhi karta hoon har waqt karta hoon ab tum laut aao main theek nahi tum bin Mera haal poochhne aao Tarasta hoon tumhari awaaz sunne ko Agar tum padh rahi ho to please mujhse baat karo Mujhe call Karo Agar tum padh rahi to laut aao