Sawaal khatam hai
प्रश्नचिन्ह भी अब मिट चुके
Ek jawab ke intezaar me
हम भी अब थक चुके
-
Just
An
UNPREDICTABLE
WORDSMITH
Kis cheez ka moh rakhu
Rakhu kis Baat ki mai aasha
Jo raha hi nhi ab wo mera
Toh kis Baat ki karu mai nirasha
-
Na koi aage hai
Na koi peeche hai
Mai khud hi wo shunya hu
Jiske duniya neeche hai
-
Mohabbat hai toh izhar karo
Warna kisne kaha ki tum Pyaar karo
-
Mere kuch sawal hai tujhse
Ki kyu itni Khaas hai tu mujhse
Mai sab janta hu
Phir Bhi kuch nahi manta hu
Mujhe pata hai ki tu kisi or ki aamant hai
Par mujhe bhi toh teri unse zyada zaroorat hai
Zaroorat is liye nahi ki mai meri jismani bhukh mita saku
Balki is liye hai ki jab mai taqleef me hu toh tujhe gaale se laga saku
-
Log Kehte Hai ki
Shayad koi matlab raha hoga mera tujhse
tabhi humara rishta raha hoga
Toh Mera jawab
Ki ha mai matlabi hu tabhi mai tere Saath hu
Meri rooh ko beintaah sukoon milta hai
Tere Saath hone se
Tere pass hone se
-
Mai tumhe mere chand lafjo or alfazo se baya nhi kar sakta
Phir Bhi
Meri har ek nazm me tumhe sharik karne ki koshish karta hu
-
Agar mai tumhare baare me english me likhu toh log use poem Kehte Hai
Agar mai tumhare baare me hindi me likhu toh log use kavita Kehte Hai
Agar mai tumhare baare me urdu me likhu toh log use nazm Kehte Hai
Par
Agar koi mujhse puche ki mai kya likhta hu
Toh mera jawab
Mai toh bus us dhayi akchar ke baare me likhta hu jise log Pyaar Kehte Hai
-
उठा लेता हूँ आज भी मैं
हर अनजान फोन काॅल
इस उम्मीद में कि
शायद तुम हो
-